Sim Cards Registration Method Must B Changed!!!

D

Dr. Shahid Alam

Guest
Pakistan may bahut sarey Sim cards ki companies hay jaisay Mobilink, Ufone, Telenor, Zong aur Warid. Har Shop par Sims bkiktay hain. Jis k b jo marzi ho jitnay sims laita hain lay jata hay.
pakistan may Sim Registration ka tareqa kaar hay wo complete ghalat, behoda aur ghair qanoni hay.
Jitnay b ghair qanoni waqiat jaisay mafia ki dhamkia, loot maar ki dhamkia, logon ko fazol may tung karna, Paiso k liay dhamkia daina in short bahut sarey illegal kaamo may yehi sims use hotay hain jin ki koi registration nahi hot ya false registration hoty hain. Aj thak corrupt system ki waja say is par koi kaam nahi hoa hay.
Isko change karnay k liay zarori hay ke
1) Unauthorised jitnay b Sim Cards hain unko band kia jaiay aur porey Country may SIM Cards ki registration naiay sirray say shuru ki jaiay.
2) Aik waqt may 1 Identity Card say sirf aik Company ke 1 Sim ki registration ki ijazat ho. (Matlub ye ke agar koi different sims use karna chahay to 1 he company k 2 sims use na kar paiay, agar different companies k karta hay to saheh hay).
3) Sims Cards baichnay k liay special registered, autohorized aur registered shops aur centers ho.
4) Sim Cards baichnay k liay aik alug Paper banaya jaiay jis may user k saray details likhay jaiay aur akhir may uskay Signatures aur Angothay k nishan lugaiay jaiay.

Agar Pakistan may terrorism aur bhatta khori, aghwa baraiay tawaan jaisay baray problems nay nijaat dilana hay to in choti si chezo ko tekh karna hay.
 
Back
Top