Mu'Shra

Bohat sach likha hai apne, sister.

Muahs'ra humein se bannta hai, kisi aur se nahi. Jaisey ap kisi hukumraan ko bura nahi keh sakty kaun ke woh hamari nation se hi hota hai. Jaisi qoum waisy hi hukum raan hoty hein.

Jin qoumon ko Allah ne tabah kiya hai, un mein jhoot, fahaash, dhoka fareeb aur bohat se buraiyan thin. Allah Ummat ul Muslima ko kisi tabahi se khatam nahi karein gey ke ye hamare Nabi Sallahu Alieyhe Wassalam ki dua thi. Lekin uski jaga hum aisi aziyaton ki zid mein agaye hein ke nikalna mushkil hai.

Jis qoum mein maa'on ko zaleel kiya jata ho, jhoot bola jata ho, har insaan dhoka deta ho, fahaash aam ho wahan aisi hi qoum bany gi jaisy wahan log hun gy.

Aur ye sab tab hota hai jab insaan Allah se ghafil hota hai. Kaun ke emaan Allah ke hony ke ehsaas ko kehty hein, jab emaan kamzoor ho jai tou aisy hi muashray bannty hein.

"Verily, Allah will not change the (good) condition of a people as long as they do not change their state (of goodness) themselves (by committing sins and by being ungrateful and disobedient to Allah)" [al-Ra'd 13:11]

Everyone should worry about themselves, because you will answer for yourself, not others.
 
@Kool Kat bohat acha likha ha apne
Its fact..!
Hr kisi ko individually apna role play krna ha to improve our society...
Hum dusron ko naseehaten krty han mgr khud kuch nhi krty...
 
we need solution!
or solution kon day ga? or actual solution hai kiya?
jab baat maushray ki hoti hai tu it means issue infiradi na howa balkay ijtimai howa, her insan ki tarbiyat 3 tariqon sey hoti hai 1. ghar par 2. school ya college 3. system
ab sochnay ki baat ye hai ka kiya ye 3 sources apna kaam kerahi hai k nahi?
is waqt masla aik fard ka nahi hai, agr hum is baat ka intizaar karain kay her fard khud ko tek kary tu isi tarah tamam maushra tek hojaye ga, kiya is process per kitna time lagay ga 100 saal ya is sey bi zyada?
agr kesi fard ki ghar par achi terbiyat ho bi jati hai tu agr wo mojoda nizam taleem k school ya college ma jata hai tu kiya ghar ki wo achi tarbiyat baqi rehti hai?
school or colleges sey farigh honay k baad jis environment ka samna karna paarta ha or aik aam admi kele practical life ma mushkilat ka dher parha hota hai.
jab ghar ka mahol koch or , school or college koch or , practical life koch or, yahee tazad insan ko muntasher kerkay aik ajeeb sa insan bana daita hai.
meri soch ye ha k humari bahisiyat e qaum tarbiyat ki zarorat hai, kesi bi mulk ka system insan k her pehlo per asar andaz hota ha. agr insan ko free hand diya jaye tu 98% chances hotay hain kay wo ghalat rastay akhtiyar kary ga, kesi bi maushra main insan ko sahi rastay per chalany kelye aik nizam ki zarorat hoti hai, humari bad naseebi yahee hai kay humara mulk humaishah ghalat logon k haath ma raha tarbiyat tu door ki baat wo zaroriyat zindagi nahi provide kersakay. khauf sey barh kar koi taklif nahi hoti, or hum isi taklif ka shikar hain, future ka khauf, bachon ka khauf, her time jaan ka khauf even bijli k bill k anay sey bi dar lagta ha, ab tu eid k anay sey bi dar lagta ha qk ju akhrajat eid per hotay hain ab tu eid k anay ki khushi bi nahi hoti balkay eid ki amad ka dar rehta ha.
system isi dar ko khatam karta hai or qoom taraqi karti hai, agr mojoda hukmaran tabqa humain system provide nahi keraha tu hmain khud sochna ha is bary ma
@Kool Kat
 
Yeh to ap ne blkul thk kha h bhai..........!!!!
 
Back
Top