Abhi kuch zabt ka yaara meri ankhon main baaqi hai

tavish

tavish

New Member
2
 
Messages
3
Reaction score
13
Points
63
Abhi kuch zabt ka yaara meri ankhon main baaqi hai,
Abhi ashkon ko palkon ki nigehbaani main rehna hai,
Jo manzar rubaru hai dekh luun ik baar jee bhar ke,
Phir is ke baad to aankhon ko hairaani main rehna hai,
Teri wehshat samajhta hoon ae meri aarzuu lekin,
Tujhe kuch din abhi is dil ki veerani main rehna hai,
Tu phir kyun laut kar har baar aa jati hai saahil pr,
Agar in kashtiyon ko umar bhar paani main rehna hai,
Issi umeed pr to kaat leen yeh mushkilen hum ne,
Ab is ke baad to ae ‘shaad‘ aasaani main rehna hai.
 

Back
Top