Islamabad Teen commits Suicide after falling in Love with Teacher

@Saad Sheikh ..one thing more bacho ko unki bharti omar mai jo problems aati hai aksar parents in cheezo mai khamoshi ekhtyaar kartai hai but ye ek disaster hai ..jub kabhi parents ko pata chalai k bachai jawaan ho rahai hain unhai saari maloomat bht saleeqai se samjhaani chaheyai aur un ka behtareen dost banna chaheyai warna bachai is kash ma kash mai kisi aur ghalat tareeqai se un maloomat ko haasil kartai hai aur apni jawaani barbaad kar daaltai hai ..7 class se 2nd year tak ka omar intehaaye naazuk ya yu kahai bht khatarnaak omar hoti hain in saalo mai parents ko apnai bacho ka har pehloo se nehaayat khayal rakhna hoga ..in saalo mai bachai ka buraye aur achaayai ki taraf jaanai wala persona banta hai so these are the most importants years
 
us ny apny papa ki gun kesy li thi? mery papa to lock ma rakty ha ta k koi usy touch na kry us k mama papa ro rhy ho gy lekin us ko muhbat ki pari thi mujy boht rony ko dil cha ra ha ye sb par k
Sawal yeh nahi k gun kesay li, sawal yeh hai k us nay yeh intehai step lay kar kya khoya aur kya paya? kya us nay apni mohabbat paa li ya khud say mohabbat karnay walon ko bhi khoon k aansoo rula diya? jis k liye yeh kiya, kya us ki zindagi ki subha o sham badli? us k is tarah marnay say dunya may kisi ko koi farq para?
 
one thing more bacho ko unki bharti omar mai jo problems aati hai aksar parents in cheezo mai khamoshi ekhtyaar kartai hai but ye ek disaster hai ..jub kabhi parents ko pata chalai k bachai jawaan ho rahai hain unhai saari maloomat bht saleeqai se samjhaani chaheyai aur un ka behtareen dost banna chaheyai warna bachai is kash ma kash mai kisi aur ghalat tareeqai se un maloomat ko haasil kartai hai aur apni jawaani barbaad kar daaltai hai ..7 class se 2nd year tak ka omar intehaaye naazuk ya yu kahai bht khatarnaak omar hoti hain in saalo mai parents ko apnai bacho ka har pehloo se nehaayat khayal rakhna hoga ..in saalo mai bachai ka buraye aur achaayai ki taraf jaanai wala persona banta hai so these are the most importants years
Bilkul sahi. Parents ko samajhna hoga k ab waqt badal chuka hai, yeh internet ka dour hai, aur unhein lazmi apnay bachon ko un ka acha bura samjhana hai. Meray in-laws may bhi kuch arsa pehlay aik hadsa ho chuka hai, jahan parents apnay bachon ko serious nahi letay wahan kuch bhi ho sakta hai.
 
@M Shah @Saad Sheikh bhai Main to isay muhabbat nahi kehti yani 7th class ko daikhain aur muhabbat ko daikhain ye umar parhnay ki hai ke fazool baaton main parhnay ki. And us bachay ne ye kun nahi socha ke us teacher kay liye ab kitna masla hoga....uski izzat bhi to barbaad hogaye na woh bhi ab court maib jayege uski family bhi mushkil mai hogi parents ne bachon pe rok tok karna chor dia hai new generation hai na aaj kal kay maa baap bht ghalat kar rahay hain bht ziada na bachay mother se dartay hain na father se......bachon ko dost zaroor banayein lekin kam az kam unpe aik roob o dabdaba bhi to hona chahaiye na. Allah reham karain bs sab pe ameen sum ameen.
 
Main to isay muhabbat nahi kehti yani 7th class ko daikhain aur muhabbat ko daikhain ye umar parhnay ki hai ke fazool baaton main parhnay ki.
bilkul isay mohabbat nahi kaha jaa sakta lekin 7th class per na ja'ein kyun k yeh internet aur mobile ka dour hai aap itni age k bachon ko kam na lein, kam az kam is waqay nay yeh sabit kiya hai.
 
@Saad Sheikh bhai us ko ye kisi ny btaya ni tha k Allah us shaks ko bara sakt guna dai gy jo suicide karta ha
 
Allah us bachay k ghar walon ko sabr ata farmaye aur bachy ki maghfirat farmaye ameen..
Saad bhai ki baat sy bilkul muttafiq hun as a teacher mjhay bhi aesi kayi students dekhny ko miltay hain jo mjhay apna rolemodel mantay hain alhamdulillah. Kuch is k ilawa bhi sochtay hain jo mjhay un ki nigah sy pat chal jaata hai. Yahan teacher k actions bht important hotay hain. Ik behtreen teacher wohi hai jo apny student ki thinking ko mold kr k us point per focus krwaye jo important hai. Yaheen sy hmari asal silahiyton ka pata chalta hai. Aur student ko uski limitations mn rakhny k lyh teacher ko apna behaviour aesa banana parta hai sakhti aur pyar dono sy smjhana parta hai mgr apny actions way of teaching dress code sy ik muatabir teacher lagna chahiye ta k student aesi koi baat dil mn na laaye. Choon k students ki age aesi hoti hai k ye khayalaat un k dil o dimagh mn aa e jaatay hain liken aesa nhi hoskta k teacher ko na pata chale. Jab teacher ko pata chal gya hai to meri yehi advice hai k foran parents k consult kren. Aur unko council kren k aap apny bachy per tawajju den usko dost banayen is terha bachy jab apny parents sy share krengy to un k mind ko mold krne mn asaani hogi.. zor zbrdasti wali umr nhi hoti ye. Sakhtiyun sy kuch bhi nhi seekhty aaj kal k bchay. Parents and teacher dono ko students k emotional behaviour k baare mein janna chahiye aur aaps mn cordinate kr k student ki terbiyetkrni chahiye. Na sirf ishq muhabbaton bal k crushes affairs or lack of confidence stage phobia wghera sub cheezun per mehnat krni chahiye.
 
Back
Top