Aisaal-E-Sawab Aur Waswasay

T

trueheart

New Member
2
 
Messages
14
Reaction score
18
Points
53
jab hum quran ya choti si surat par k sab ko jo hazrat adam al sa le kar aj din tk wafat pa chukay hai un ko sawab baskhaty hai to humy b to utna sawab ho ga na jitna un ko isaall kar dia mujy waswasa ata hai jab b me yaseen wagera par kar sab k liye isaal karta hu to waswasa ata hai hai k<{ apne liye sawab kamao dusro ko kiu bejtay ho tmy kia faida is ka aur itna thora sa to party ho is ka sawab kitno ko mily ga kiu k aj din tak to unginat log wafat pa chuky hai}]darood paro tb b ye hi hota hai me ne 2 3 months se regular namaz shuru ki hui hai aur tamam buraio ko tark kar dia hai dubara us taraf ne lotna chahta magar waswaso ne itna tang kia hua hai k kabi dil karta hai k esay waswaso se to marna behtar hai
 
Moved to Islamic Questions and Answers | Pakistan Social Web section.

@trueheart, Allah Pak aur us ki rehmat o bakhshish kay khazanay itnay wasee hein k insani aqal is ka andaza laganay say bhi qasir hai. Jab aap ko yeh waswasa ya khayal tang karay tou aap yeh socha karein k Allah kay khazanon may koi kami nahi hai, aap ko bhi poora sawab milay ga, aur aik kitab may main nay parha tha jin roohon ko aap sawab bhaijtay hein unhein farishtay batatay hein k aap ko is naam k aadmi ya aurat nay yeh sawab bhaija hai aur woh roohein aap k is amal say bohot khush hoti hein.

Zahir hai aap naiki aur ibaadat ki taraf maail huway hein tou shaitan nay tou aap ko is rastay say hatanay ki koshish karni hai, shaitani waswason say bachnay k liye aap ko yeh parhna chahiye..
  • Rozana raat ko sonay say pehlay, baa-wuzoo ho kar, 11 baar, انا اللہ علی کل شی قدیر parhein aur haathon per damm kar k haath sar say lay kar chehray k neechay thhori tak phair lein. Dubara 11 bar parh kar isi tarah kein, total 3 bar yeh amal repeat karein. Yeh amal kam az kam 2 weeks tak karein.
  • Rozana subha k waqt, sooraj nikaltay waqt, 5 minute tak poori tawajo say asman per nigaahein jama kar deikha karein.
Reference: Abqari, July 2013.
 
Last edited:
shukria bai jan boht boht
inshaallah ye amal me shuru karta hu
Allah apko izzat de aur dunia aur akhrat ki balai ata kary ameen


mujy ak bat batae hamara kam electronics ka hai kuch log chezzay theek karany k liye day k jatay ha aur bool hi jaty hai phir wapis nei atay to kia hum wo chezay istemal kar sakty hai maslan energy sever etc baz okat to chezay gum b ho jat hai ya aur 2 3 sal bad agar koi ae to chez na milay to kia hum gunha gar huay
 

shukria bai jan boht boht
inshaallah ye amal me shuru karta hu
Allah apko izzat de aur dunia aur akhrat ki balai ata kary ameen


mujy ak bat batae hamara kam electronics ka hai kuch log chezzay theek karany k liye day k jatay ha aur bool hi jaty hai phir wapis nei atay to kia hum wo chezay istemal kar sakty hai maslan energy sever etc baz okat to chezay gum b ho jat hai ya aur 2 3 sal bad agar koi ae to chez na milay to kia hum gunha gar huay

Bro ap is bry men kisi authentic shakhas se fatwa le lena.

Wesy aam tor pe shops men likha hua hota he k for example 7 din k andar apna saamab le lena, ba'd men koi zimmadari nhi ho gi. Lekin un chezun k zaati istemal k bry men exact information ka nhi pta.
 
Bro ap is bry men kisi authentic shakhas se fatwa le lena.

Wesy aam tor pe shops men likha hua hota he k for example 7 din k andar apna saamab le lena, ba'd men koi zimmadari nhi ho gi. Lekin un chezun k zaati istemal k bry men exact information ka nhi pta.
thanks ggg
 
Assalamoalaikum to all....
trueheart brother! jo khayal apky dil men aa rha he wo waswasa nhi he... ALLAH SUBHANAHU WATAALA ny apky dil men shi khayal dala he..mairi murad apki is soch sy he ki hmen apny liy recitation krni chahiy... or yi ki hm sb ko sawab kaisy phuncha skty hen? jo khta he ki hm eesali sawab kr skty hen usko daleel daini chahiy or daleel quraan sy ho ya hadith sy ya sahaba karam ky aqwal ya afaal sy.. QURAAN men SURAH NAJAM men ayat no 39 men aata he ki" or insan ky liy whi kch he jis ky liy wo mhnat krta he".. zra ghor krain....
1:ab QURAAN ap prh rhy hen mhnat apki he to uska sawab ksi or ko kaisy mil skta he?khana ap khain to kia uska faida ksi or ko ap transfer kr skty hen? paper ki tiyyari ap ny ki ho to kia wo ksi or student ky liy kafi hogi? agr DEEN I ISLAAM men yi role aisy hi ho ki hm QURAAN or DAROOD prh prh kr dosron ko bkhshty rho to swal yi he ki insan apny liy kb amal kry ga...?

2: or jo yi daleel dy ki prh kr bkhsho to khud ko bi sawab milta he or dosron ko bi q k ALLAH ky khazany bht waseea hen to yi HADITH ki ghalat aplication he... us HADITH men yi he ki jb bnda ksi ko khair ki trf bulata he ya koi achi bat sikhata he or seikhny wala us pr amal krta he to donon ko ajar milta he or ksi ky ajar men bi kami nhi ki jaati or isi trh jo shar ki trf bulata he or sikhny wala wo burai krta he to donon ko gunah milta he.... yhan ghor krain ki jb ksi ko bnda sikhai to phr waada he ki ajar donon ky liy he... yi to mtlb nhi nikal rha ki naiki to khud kro lkn sawab men koi or bi shamil ho skta he...

3: eesali sawab aisa kaam he jo ksi NABI ny nhi kia...agr yi koi naiki hoti or waqii sawab ksi ko bkhsha ja skta hmary piary NABI sallallho alaihi wa sallam ny aisa q nhi kia? kia ksi ky pas daleel he ki hamary NABI ny aisa kia he? deen i ISLAAM la aik role yi he daleel sirf yi cheezen bn skti hen....QURAAN, NABI ka qool, amal, ya apky samny koi kam ksi sahabi ny kia or apny us sy mna nhi kia,, sahaba ka qool o amal... QURAAN ALLAH ny nazil kia he,, NABI ny whi kia ya kha he jo ALLAH ko psnd tha or ALLAH ny usko qabool kia he,, sahaba karam ky baray men yi certificate QURAAN men mojod he ki "raziyallo anhum ajmaeen"..yaani ALLAH un sy razi he or ALLAH kb ksi sy razi hoty hen? jb ksi ky aamaal ALLAH ko psnd hoty hen.. is ky ilawa dunya men ksi insan ka yi maqaam nhi ki hm khen ki ALLAH ko uska hr amal psnd he or wo zror qabool hoga.. yi guarantee ksi or insan ky liy nhi.. han sirf husni zan ho skta he ki ALLAH ny amal qabool kia hoga..

4: sahaba karam piary NABI sallallho alaihi wa sallam sy shadid mhbt krny waly thy... phr ksi sahabi ny q NABI sallallho
alaihi wa sallam ko aisy eesali sawab nhi phunchaya?

5: jo kam NABI sallallho alaihi wa sallam ny nhi kia , sahaba ny nhi kia ksi ky pas uski kia daleel he ki wo sahi he or wo qabool hoga? yi autaurity sirf or sirf ALLAH SUBHANAHU WATAALA ko hasil he ki wo btain ki konsa amal ALLAH ko psnd he, konsa qabool hoga or konsa nhi hoga? wahee ka sisila bnd ho chuka he so jo amal ALLAH ko psnd hen or us ny qabool krny hen wo sb shariat men wazih hen... hm apni mrzi sy ab is men izafa nhi kr skty..

6: QIYAMAT waly din kch log lai jain gy jinhon ny sari zindagi naik amal men guzari hogi lkn wo JAHANNUM men jain gy.. q? sirf is liy ki kam to naik kiy thy lkn chonki piary NABI sallallho alaihi wa sallam sy sabit nhi thy so wo qabool nhi hongy.. hamary pas to final role model NABI sallallho alaihi wa sallam ki ZAATI MUBARIKAH ki shakal men mojood he so jo unky amal sy hat kr amal kry ga wo qabool nhi hoga.. so aisi naiki ka kia faida jis men ap sari zindagi guzar dain or yi surity tk na ho ki wo qabool bi hona he ki nhi or AAKHIRAT men bnda khali hath rh jai. yi bi shi HADITH s bat sabit he..

7: last bat yi ki sahi DEEN seikhna hm sb pr wajib he..hm musalmaan ko AALIM bnny ko nhi kha gia but itna DEEN seikhna hr muslim mard o aurat pr frz he jis sy kam az kam wo sahi IBAADAT sr injaam dy sky.. or is sy laa ilmi la loi excuse accept nhi kia jai ga.. SURAH FATIHA men " WALA ZAALLEEN" sy murad whi gumrah log hen jo deen ka basic knowledge bi nhi hasil krty.. hm men sy hr aik ko ALLAH ny itni aqal or smjh di he ki hm khud DEEN ka bisic knowledge seikhain na ki dosron sy poch poch kr kam krain or phr chahy hmen koi sahi guide kry ya ghalat rasty pr ly chaly.. kia hm dunyawi maamlat men bi aiasa hi bhvr rkhty hen ki khud kch bi search nhi krty or jo jaisy btai aankhain bnd kr ky follow krna start kr daity hen? never, dunya ky liy to hm bht effort krty hen, reseach krty hen, daleel mangty hen, sahi info ky liy jo ho sky krty hen.. to kia ALLAH ka DEEN hi aisi cheez he jis ko hasil krny ky liy hamary pas time nhi hota? jis ko follow krny ky liy koi daleel nhi chahiy hoti? itna humble bahave to hamara ksi or cheez ky liy nhi hota..

ALLAH TAALA hmen haq ko haq smjhny wala or us pr amal krny wala bnai... mujy or apko sahi DEEN ki smjh dy.. hadayat ki dua krna bi hm pr lazim he...HADITH sy sabit he ki si " mrny ky baad insan ko sirf 3 cheezen faida daiti hen.. naik oolad jo dua krti he, sadqa i jaaria, or ilm (deen ka ilm)jo bnda ksi ko sikha jai"...
 
Back
Top