~Azm e Pakistan~ | A special Independence Month Thread

Discussion in 'Azadi Mubarak' started by Silent Smile, Aug 5, 2011.

  1. Silent Smile Popular Pakistani

    Message Count:
    1,005
    Likes Received:
    829
    [IMG]

    ~Azm e Pakistan~ |A special Independence Month Thread|
    Az TAMOOR QURESHI (Aik adna sa Pakistani, jiss ko apni shanakht per fakhar hai)
    [IMG]

    Assalam u Alaikum Pakistan,

    Jaisa ke app sab jantay hain ke mojoda maah hamaray mulk e Pakistan ke maa’rz e wajood men aanay ka maah hai. Iss mahenay men musalmanan e hind nay laazwal qurbanian detay hoay apnay sirr dharr ki baazi lagatay hoay iss sir zameen ko hasil kernay ke lye jaddo jehad ki orr akhir issay hasil kya. Ager sach kaha jaaye too Ajj kel hamaray han badd aitmadi orr kamm ilmi ki fizaa arooj per hai. Men guzishta kayee barson say yeh mushahida kerta aa raha hon ke hamaray laug khasoosan nojwan bohot mayoosi ke samander men girtay jaa rahay hain. Lekin jiss tezi ke sath hamaray han iss tarah ke logon khasoosi taur per naujwano ki taa’dad men bohot tezi say izafa horaha hai yeh meray liye baa’is e tashweesh tha, Iss ka andaza mjhe kaisay hoa aa’ye iss ki tafseel men jatay hain:

    Jaisay hi 1st August aati hai too meray ander jazba e hubul watni ki aik kaifiat taa’ri ho jati hai jau kyon taari hoti hai? yeh men bhi nahi janta. So iss baar bhi men issi kaifiat say dochar tha. Ramzan bhi tha too mjhe apnay daraz ki safai kertay hoay is ski gehrai say Pakistan ka aik chotha sa cute sa badge mill gaya, jissay dhekh ker meri khushi ka koi thikana naa raha men nay foran say issay apni chati ki zeenat banane ka iraada ker lya. Men nay jaisay hi yeh badge lagaya meray ander fakhar, sir-bulandi orr jazbatiat ki aik lehar daur gayee. Kher men nay issay 14 August tak apnay libas ki zeenat banana ke faisla ker lya.
    _____________________________

    Mjhe iss waqt khush gawar hairat ka samna kerna para jab mjhe tamam laugon nay alag andaz men dhekhna shroo ker dya men samjha ke shayad inn ki iss nazer men apnaayat orr appreciation hai. Kher men apnay work environment men jab gaya too wahan bhi mjhe aisay hi dhekha gaya. Lekin mjhe uss waqt bohot hairat ka jhatka laga jab mjhe meray close friends nay kehna shroo kya ke “Yeh tum kya bachoon ki tarah badge laga ker aa gaye ho?”. Ager baat yahan per khatam ho jaati too shayad men bhi unn ki janib say issay aik fun ke taur per lay ker bhool jata lekin had too tab hoyee jab chand doston nay yeh kehna start ker dya ke aisay mulk jiss men hamari jaan mehfooz na ho, maal mehfooz na ho, izzat mehfooz na ho, bijli na millay, mehngai nay dairay daal rakhay hon, laa qanoniat ka baul bala ho, dehshat gardi ka raaj ho, tum kya uss mulk ki mohabbat men yeh badge lagaye hoay ho? Akhir kya diyya hai hamen iss mulk nay? Kya rakha hai iss mulk orr iss ki shanakht men? Yeh sab sawaliya nishan meray samnay mehv e raqs thay orr men inn ke samnay khamosh khara tha.

    Mjhe inn tamam bayan kerda baton men say kisi baat say qat’an koi ikhtilaf nahi, balkay ager men chahon too iss list ko mazeed lamba ker sakta hon. Lekin iss men jau hissa meray nazdeek naa qabil e bardasht orr aik dhachkey say kam na tha woh iss ka dosra part tha jiss men hamaray mulk ke mulk honay per unglian uth’ti nazer aati theen, iss ki salmiyat per sawalya nishan lagaye jatay nazer aate thay orr tanziya andaz wazeh tha! Hosakta hai balkay ho kya sakta hai yaqeenan iss waqt Qar’een men say bhi bohot say laug aisay hon gay jinn ke dil men bhi yehi sawal umadte hon gay orr shayad woh bhi iss ka waqtan fawaqtan izhar kertay aaye hon. Iss tanz ke teeron ka jawab denay ke lye men aik missal ka sahara leta hon, app pichli tamam baton ko zehan say nikal dain orr farz Karen. “Aap apnay career ka aghaz zero point say kertay hain.. app din raat shabana rauz mehnat kertay hoay apnay app ko bohot si mehnaton, qurbanion ke baad establish kertay hain. Tamam umer yeh mehnat kertay hoay bilakhir app ke pass itni jama poonji ho jati hai ke app iss say aik barri jaa’geer khareednay ka plan banatay hain. Orr app tamam sarmaya kharch kertay hoay yeh jaa’geer bana bhi letay hain. Lekin iss doran zindagi app ke hathon say hath men mojod rait ki maanind phisal chuki hoti hai. App apnay bachon ko apni saari qurbaniyan yaad kerwatay hoay (jau yaad kerwanay ki zaroort too nahi kyon ke woh bhi inhen bakhobi jantay hain) apni jaager un ke hawalay kertay hoay akhri hichki letay hain orr iss daar e fani say kooch ker jatay hain.
    _____________________________

    Kahani ka mazay daar maur yaa phir afsus nak maur yeh hai ke app ke barabar men rehnay walay bhai numa dushman ko yeh sab aik ankh nahi bhata wooh aap ki zindagi men too iss jaager ki taraf meli ankh say dhekhnay ki jurrat nahi ker sakta lekin jab app faut ho jatay hain too uss ko yeh moqa muyassar aa jata hai. Pehlay qadam ko utha’tay hoay woh app ki jaidad men say kuch hissa jurm orr istehsal ki tamam haden aboor kertay hoay “gher qanooni” taur per app say elehda ker ke baich deta hai. Iss ke baad bhi uss ki nafrat ki aag khatam nahi hoti too wooh mukhtalif manfi herbay baro e kaar latay hoay app ki oolad ko zaleel o ruswa kernay ki than’ta hai, iss men wooh kuch app ke ghar ke logon ko bhi shamil ker laita hai jau bayzameer laug chand takon ki khatir yaa phir nafrat ki lagayee iss aag men kood jatay hain. App ke ghar/ jageer men tabahi phir jaati hai. Rauz naye say naye jhatke iss ghar ka muqaddar bann jatay hain. Kabhi app ke kitchen men say saman ghayab hota hai too kabhi app ke geraj say gari gum hoti hai. Yeh silsla yaheen khatam nahi hota balkay hadd too tab tajawuz hoti hai jab app ke ghar walon ko sar e aam ghar say nikalte hoay maar dya jaata hai, kayee afrad ko aghwa ker lya jaata hai. Jaisay hi koi soda lenay ke lye bhi bahir nikalta hai uss say paisay cheen lye jatay hain. App ke bijli, gais ke meters ko bar bar on/off ker dya jaata hai.
    Ab app mjhe bataye ke inn haalat men jab app ke ghar per yeh qayamat e sughra toot rahi hogi too app ka iss waqt kya reaction hoga. Ankhen band Karen dil men sara naqsha khenchen orr sochen. Kher app kuch sochtay hain phir app iss mam’lay per mash’wara kernay ke lye ussay hall kernay ke lye app ghar ke basion say mashwara kertay hain ke hamaray abba jaan orr hamari mehnat say hasil kee gayee iss jaa’gir ko kaisay bachaya jaa sakta hai? Ab sochen ager ghar ke baasi app ko iss tamam sorat e haal ka kuch hall batanay ki bajaye app ko orr app ki jaager ko hi burra bhala kehna shroo ker dain. Issay hi manhoos qaraar day dain. App ko, jau ghar ke, walid ke wafat ke baad maalik hain, kausnay daitay hain. Ab sochen app ka radd e amal kya hosakta hai:

    1. App ko shock lagay ga.

    2. App ko dushman per too ghussa hoga hi app ko apnay ghar walon say bhi ghussa balkay shayad nafrat ho jaye.

    3. App sochen gay, Woh app ke rehm o karam per iss jaa’ger men paltay rahay hain pall rahay hain orr ager app ghalat bhi hon too unn ki taraf daari app say honi chahye kyon ke app ke sath sath yeh unn ki baqa ka sawal hai.

    4. App expect Karen gay ke wooh laug app ko orr app ki jaa’ger ko ager itna hi ghatya tassawur kertay hain too unhen iss men rehnay ka koi haqq hasil nahi.

    5. Jahan wooh laug iss mushkil kaifiat say guzer rahay hain too app too uss say bhi mushkil kaifiat men hain app ko zyada hyper hona chahye, ulta wooh app per char’hai ker rahay hain.
    _____________________________

    Conclusion:
    Ager app bohot bhi shareef hoay, bohot hi narm dil hoay, bohot hi aman passand hoay too shayad unhen aik baar warn keren yaa shayad wooh bhi naa Karen gay orr unn ka boriya bister gaul ker ke unhen ussi waqt “Get Out” ka perwana thama dain gay. App inn tamam baton ko aik baar phir sochen orr issay apnay ooper rakh ker dhekhen too shayad app yaa koi bhi zee’shaoor yehi Kare ga. Naa sirf app ko ghar dakhal Karen gay balkay app ko iss cheez ka bhi afsus hoga ke yeh meray apnay ghar walay kitnay kam zarf niklay, jinhon nay tamam zeest iss ghar ke mazay lootay orr akhir men issi ko galiyan deen, app ka dil shayad khoon ke aansoo rooye.

    Roo’dad khatam, afsana anjam pazeer orr dastan apni manzil ko pohnchi. Dosto, yehi jaa’geer hamara Mulk e Pakistan, iss ke maalik ham laug, iss ke dushman parosi, iss ke ander rehnay walay rishte daar hamari awaam, iss ko dau lakht ker ke Bangladesh banana walay bhi app ke nazron ke samnay hain. Ab men ball app ki court men phenkta hon. Yeh Ramzan bhi hai orr August bhi, apnay zameer ki adalat men khud say faisla Karen ke hamen kis men shumar hona hai iss ko bachanay walon, theek kernay walon, iss ke lye duayen kernay walon men yaa phir ghaddar rehaishiyon men jinn ke Dil men iss ke lye Nafrat ke siwa kuch nahi!

    Jazak Allah for reading.

    Bohot Khush Rahen..

    Mere Khuda muja Itna THo Mautbar Kar Day,
    Main Jis Makan Mein rehta Hoon, Us Ko Ghar Kar Day!

    Yeh Roshni K Taaqub Mein Bagtha Hoa Din,
    Jo Thak Gaya Hai Tho Ab Is Ko Mukhtasar Kar Day.

    Mein Zindagi Ki dUa Mangnay Laga Hoon Bohath,
    Jo Ho Sakay Tho Dua’oon Ko BeAsar Kar Day.

    Sitara-e-Sahari Dobnay Ko Aaya Hai,
    Zara Koi Mere Sooraj Ko BaKahabr Kar Day.

    Meri Zameen Mera Akhri Hawala Hai,
    So Mein Rahoon Na Rahoon, Is Ko Barwar Kar Day.

    Mein Apnay Khwab Sa Hat Kar Jeeyon Tho Mere Khuda,
    Ujjar Day Meri Mitti Ko Dar Ba Dar Kar Day!

    [IMG]

    Ayesha Amir and Saad Sheikh like this.

Share This Page

Users found this page by searching for:

  1. pakistan flag

    ,
  2. bismillah karan

    ,
  3. bismillah shareef

    ,
  4. flags of pakistan,
  5. pakistan flag pictures,
  6. bismillah logo,
  7. hum mulk bachanay niklay hain,
  8. pakistan bismillah,
  9. bismillah wallpaper,
  10. makan ka naksha,
  11. nikalt source desktop background,
  12. pakistani flags,
  13. pakistan naksha,
  14. pakistan ka naksha,
  15. jazba hubul watni waqt ki roti,
  16. chand sitara of pakistani flag,
  17. pakistani naksha,
  18. sawaliya picture,
  19. hum aik hain pakistani,
  20. pakistan flag picture,
  21. mera jahan pakistan,
  22. jazba hubul watni,
  23. pak flag wallpaper,
  24. bismillah name cute pics,
  25. naksha.pk,
  26. meri zamin mera akhri hawala hy,
  27. dua e bardasht,
  28. hubul watni par taqreer,
  29. pakistan chand sitara,
  30. pakistan independence day flag