Sad Poetry Hum faqat zaib-e-hikayat thae

Discussion in 'Urdu Poetry by Topics' started by Silent Voice, Jul 1, 2012.

    • Popular Pakistani
    • ✧ Star Pakistani ✧
    • ★ Super Star Pakistani ✫

    Silent Voice Star Pakistani

    Message Count:
    14,684
    Likes Received:
    6,963
    zindagi yun thi ke jeene ka bahana toh tha
    hum faqat zaib-e-hikayat thae, fasana toh tha

    hum ne jis jis ko bhi chaha tere hijran mein, woh log
    aate jaate huye mausam thae, zamana toh tha

    ab ke kuch dil hi na maana ke palat kar aate
    warna hum dar-ba-daron ka to thikana toh tha

    yaar aghayaar ke haathon mein kamanein thi ‘Faraz’
    aur sab dekh rahe thae ke nishana toh tha

Share This Page