Novel Jannat Kay Pattay By Nimra Ahmed - Last Episode 15 - May 2013

har kisi ka apna point of view hota hai lekin dont u think agar is novel ka drama ban gaya tu writer jo msg convey karna chah rahi hai us ka ulat hojaye ga kiyune saari actress us mai obviously baghair parday k rahengi...phir se wohi be-pardagi ho jaye gi
mera b yehi khyal hai Sis :)
 
Aalllaaa novel...... :rose:
bhttt kuch seekha es novel se... :)
bs Nimra Ahmed se request hy k es p drama serial na bnawaein...novel e rhny dyn....cuz drama serial mn to kafi changing atiii hyn.... so plzzz ye requst nimra ahmed tk phncha dijye ga.. :)
 
masla hamara yeh hay k jab amal ki baat aati hay to hum extremist kehlaaye jaate hein. or yeh deen se doori ki wajha se hay.
yeh to afsos hay hamarey ander itni strengh nahi k apne ek behtreen amal ko defend kr sakein.

sub se pehle hamein khud is baat per imaan laana hay hay k yeh Allah ka hukkam hay or is mein siwaaye khair k or kuch nahi ho sakta phir Allah Taala humein nafs-e-mutmainna ke maqam per khara krte hein jahan koi taana, koi sakht baat garan nahi guzarti.
jab hum khud raazi hote hein kisi kaam k liye to phir us k liye lerna ziaada asaan ho jaata hay.

aaj ke waqt mein perda krna ek jihaad hay sab se pehle jihad bin-nafs and then society se jihaad. isi liye Allah Taala se istiqaamat mangna zaroori hay.
 
Back
Top