Love Poetry Jeevan Se Bhari Teri Aankhen

Veer

Veer

Famous Pakistani
Staff member
27
 
Messages
35,543
Reaction score
45,341
Points
3,711
Jeevan Se Bhari Teri Aankhen

Jeevan Se Bhari Teri Aankhen
Majboor Karen Jeene Ke Liye
Saagar Bhi Taraste Rehte Hain
Tere Hoth Ka Ras Peene Ke Liye

Tasveer Banaye Kya Koi
Kya Koi Likhe Tujh Pe Kavita
Rangon Chhandon Mein Samayegi
Kis Tarah Se Itni Sundarta
Ek Dhadkan Hai Tu Dil Ke Liye
Ek Jaan Hai Tu Jeene Ke Liye
Jeevan Se Bhari Teri Aankhen

Madhuban Ki Sugandh Hai Saanson Mein
Baahon Mein Kamal Ki Komalta
Kirnon Ka Tej Hai Chehre Pe
Hirnon Si Hai Tujh Mein Chanchalta
Aanchal Ka Tere Hai Saar Bahut
Koi Chaak Jigar Seene Ke Liye
Jeevan Se Bhari Teri Aankhen

(Lyrics from Safar 1970, Lyricists: Indeewar )
 

At first when i started reading this poetry.... my expressions were :confused: "ye @Veer bhai ko kia ho gaya hai" and then when i scrolled the page down and i was litteraly laughing out loud and i couldn't stop laughing for atleast 3 minutes :rofl::hilarious:
BTW @Mahsa is haseena ki ankhain kitni nasheeli lug rahi hain....aur kajal wahhh...kis maharut say pora truck bhurr k kajal lagaya hai...aur wo bar bar jo ankhain jhapuk raha tha :hilarious::p
 
Back
Top