Khawateen Ka Aalmi Din

This is not fair then...essa din jo kabi aye hee na..yar kam az kum 29 feb ko tu rakhtey...kyun k phir hum 4 saal baad tu celebrate tu kartey..heheheheheheh.
but any way mein iss ko one sided game samjta hoon..

Waisay inteha hai sharafat orr masoomiat ki 4 saal baad bhi mananay ke lye razamand hain :p

waqai game too one sided hi hai churri neechay say chalay yaa ooper say katna too kharbozay nay hi hai na.. seriously hamari society men bohat zulm ho raha hai khawateen per jaisa men nay ooper main post men bhi bataya hai app ka kya nuqta e nazar hai app nay kya experience kya hai yaa newspapers men parha hai? orr han pooray maa'shray ki baat kejye ga personally too ham jantay hi hain ke app ki naye naye shadi hoee hai app se zyada mazlom kon hoga :wub:
 
hahahahahahaha hahahahaha muje sey ziyada mazloom kon hoga hahahahahah no comments....mobile is out of covrage area hahahahahahahah.
Arey janab zulum tu hum per be hoty hein liken oss ko koi nahee highlight karta..abb dekho na pakistan k ek city mein 4 aurtoon ney ek bandey ko oss waqt marra jab wo 5shaadi karney ja raha tha..abb iss mein oss ka kiya qasoor wo be tu ek aurat ki help kar raha tha..kiya yeh zulum nahee?
Abb busoon mein dekhein hum jab be seat per bathey hotey hein tu respect sey aurat ko seat dey detey hein aur apna baqai ka safar kharrey guzar detey hein...kiya yeh sulum nahee?
Pura pura din ghar sey bhir kaam kartey hein aur shaam ko wo hans kar na boley tu...kiya yeh sulum nahee?
Bohat see batein hein mery pass liken yahaan time chayee jo mery pass nahee..inshallah next bar share karoon gha.
aur haan mera yeh matlab nahee k mein aurtoon ki tuheen kar raha hoon...liken zarra thoora sa sochein k yeh kiya one sided game hai k nahee????
To Be Continue.............................................................................;)
 
hahahahahahaha hahahahaha muje sey ziyada mazloom kon hoga hahahahahah no comments....mobile is out of covrage area hahahahahahahah.
Arey janab zulum tu hum per be hoty hein liken oss ko koi nahee highlight karta..abb dekho na pakistan k ek city mein 4 aurtoon ney ek bandey ko oss waqt marra jab wo 5shaadi karney ja raha tha..abb iss mein oss ka kiya qasoor wo be tu ek aurat ki help kar raha tha..kiya yeh zulum nahee?
Abb busoon mein dekhein hum jab be seat per bathey hotey hein tu respect sey aurat ko seat dey detey hein aur apna baqai ka safar kharrey guzar detey hein...kiya yeh sulum nahee?
Pura pura din ghar sey bhir kaam kartey hein aur shaam ko wo hans kar na boley tu...kiya yeh sulum nahee?
Bohat see batein hein mery pass liken yahaan time chayee jo mery pass nahee..inshallah next bar share karoon gha.
aur haan mera yeh matlab nahee k mein aurtoon ki tuheen kar raha hoon...liken zarra thoora sa sochein k yeh kiya one sided game hai k nahee????
To Be Continue.............................................................................;)

lolz

app waqai mazloom hain maan gaye ab khush :D

nahee darasal app jau naqsha khench rahe hain woh bilkul darust hai lekin app yeh bhi too dhekhye na ke uss ke sath sath kitni jaghen orr bhi hain jahan bohat ghalat orr zulm o zyadti ho rahi hai. Thehrye! ager kabhi ittefaq ho (waisay Allah na karay aisa ho :) ) app ko burqa pehan ker yaa apnay app ko orrat ke roop men bahar nikalna paray too shayad app ko kuch haqeeqat maloom ho sakay. Charon janib say chubhne wali nigahen, aik isharay per apni jaan nichawar kernay walay nojwan, date ke lye poori tarah tayarion say lais larkay (jinn ki abhi monchen bhi nahi aayen hotin) orr naa janay kaisay kaisay oobash logon say app ka takra hoga.

Iss ke baad app gharon men hi dhekh lejye men personally bohot say logon ko janta hon jau ke apni bachion ko taleem hasil nahi kernay daitay.. kayee larkion ki shaadi bhorray ameer logon say ker di jati hai.. kayee ko "Watta Satta" jaisi rasam ki bhent charha diya jaata hai. Larkion per khasoosi nazer rakhi jati hai ke kaheen koi "Gull" na khila bhethen orr khud her waqt kisi aisi larki ki talash men hote hain jau thori dair ke lye lift kerwa day.. Yeh sab kya hai?

Imran bhai Ham iss waqt andheron ke uss koonwen men tezi say girr rahay hain jahan ka anjam bohot bhyanak hai. Bass Allah (S.W.T) hamen maaf farmayen werna iss hamam men sab....

Bohot Khush Rahen :flower:
 
bol ka lab azad hain tera... sirf khawateen hi ka liya ha ka sub ka liya hai?.... keh dena kitnqa easy ha ka bol ka lab azad hain tera... lakin is ka liya qurbani dena parta ha aor hum is ka liya her giz her giz tayaar nahi... jub baaat apni zaat per ahti ha tu hum bi wohi bun jata hain jo is mokha per dosara bana huwa hain... hum logo ma abi itna education develop nahi huwa ka hum Islam ka diya huwa daras Bardash ker saka aor kisi ki baat ko baghar temperment loose kiya sun sakha.... jub tak hum Islam ki asal ko ikhtiyar nahi kare ga aor jusiyat ma hi uljha raha tha tu kabi kal ko nahi pa saka ga jaisa ka yahi din manana.... aisa 100 din bin mana liya jahe tu koi change nahi aya ga... Islam ma her din her shaks ka ha baghar tafreeq ka... budqismati sa hum bi ghairo ki naqali per utar aya hain aor din ko manana lagha hain.. un ki tarah lambi lambi taqreerian kerta hain... aor bus...........!!!!!
 
Baat din ke mananay ki nahi balkay uss soch ko ujagar kernay ki hai.. Hazrat Ismail (A.S) ki qurbani sab ko her waqt yaad hai lekin jab ham Eid manate hain too yeh sirf 2,3 din ke lye uss qurbani ko yaad ker ke bhulana nahi balkay uss jazbay orr maqsad ki ta'yeed kerna hota hai.​
Baharhal baat iss amar ki hai ke ham aik din nahi balkay rozana iss baat ko ujager karen.. her pall iss soch ko samne rakhen. Bol ke labb azad hain teray ka pegham sab ke lye hai! khamosh pegham..... iss say pehlay ke her taraf khamoshi ka raaj ho!​
Bohot Khush Rahen!​
 
chalo acha ha khamoshi sa baat taal di warna aap ko tu pata ha hum kub kisi sa haar manane wala hain... :skip:
Eid sunat ibrahi ha aor ya kis ki sunat ha aap ko behter pata hai.... :rolleyes:
agar aisa hi ha jaisa ka aap na ya Eid ki daleel di ha tu phir tu hum logo ko her din kisi na kisi din sa mansoob ker ka manana chahiya jaisa ka hamare Nabi ki sunnat ha????............ Happy birthday, New Year Day, Wife Day, Husband day and much much more.... :present:
aap ko nahi lagta ka Khamoshi ka raaj hai?... muja tu aisa hi lagta hai.... aap ko mari awaz ah rahi hai? :sleep:
 
Her taraf khamoshi orr andhera hai.. darasal hamaray kanon ki sunn'nay ki aik taqat hai. Ager awaz uss say oonchi hoo tab bhi orr ager uss limit say neechay ho tab bhi hamen sunai nahi deta!

Darasal behas iss baat per nahi ke iss din ko mannana chahye yaa nahi naa hi iss soch ki hai ke aisa kerna theek hai ke nahi.. baat yeh hai ke kya khawateen ko woh haqooq hasil hain jau ke unn ko milne chahyen? Din ka manana yaa naa manana too aik elehda issue hai. Iss tarah too yeh forum bhi uss zamanay men nahi hote thay too kya phir inhen bhi nahi istemal kerna chahye? yeh too koi masla hi nahi hai.. men app ke ishara samajh raha hon jau event ghalat hai hamen uss ki nafi kerni chahye lekin kisi achi baat ko bayan kernay ko kisi dosri cheez say mansoob kerna bhi munasib nahi lagta..

Orr app too hamaray dost orr bhai hain app ko kya harana orr kya jeetna waisay bhi aisi behas say kya faida jiss say app behas jeet jao orr aik acha dost kho do!!

Bohot Khush Rahen!
 
Back
Top