Khuda kay liye Maa ko pehchano!

Discussion in 'Express Your Feelings' started by Saad Sheikh, Oct 25, 2011.

  1. Saad Sheikh Founder

    Message Count:
    1,956
    Likes Received:
    2,495


    Yeh video deikhtay huway main apnay aansoo rok nahi saka, logon kay dilon ko kya ho gaya hai? kyun pathar say sakh ho gaye hein.. jis insan ka dil us ki Maa kay aansoo deikh kar bhi na pighlay usay zinda rehnay ka koi haqq nahi, main usay zinda laash kehta hoon. Meray to haath bhi kaanp rahay hein yeh likhtay huway.. Maa kay saath aesa salook karnay walon ki koi ibaadat qabool nahi. Maa ka dil dukhanay walay insan kabhi kamyab nahi ho saktay, na dunya may na aakhrat may..

    Khuda kay liye Maa ko pehchano! Maa jesa sacha pyar dunya may kaheen nahi mil sakta. Maa ki qadar karo, Maa aik azeem tohfa hai jo bas aik hi bar milta hai, Maa k dil say mat khailo us ka dil to bohot bara hai woh sab dard chup chaap seh leti hai aur aap ko kuch kehti bhi nahi lekin kaheen aesa na ho k aap usay kho do aur phir aap ko ahsaas ho k aap k pass to kuch bhi nahi.

    Silent Voice likes this.
  2. Silent Voice Star Pakistani

    Message Count:
    13,378
    Likes Received:
    5,741
    Assalam_O_Alykum!
    buht Aa'laa Sharing hai...maa key ziker sey hii mehfil kia zindagii sanwarti aur dourney lagti hai ...aur barii aachi baatein share kii app ney Allah Pak Apko iskey be'panah ajr-e-azeem sey nawazein...aur her uss bashr ko jo iss ko daikh ker apni isslah kary/ameen

    Zameen per Allah Pak kii rehmatoun, aur muhabbatoun ka sub sey bara nazool Maa hai, Falak sii wuusatoun sa zarf hai iska, jis trha charagh main louu hoti hai issi trhaa maa kii lou be'lossi hai aur aey'saar...mere liye walid aur walidah dono ek hii mouqaam per hein ...main jitni baar apney waldein kii traf daikhtii houn uttni bar Allah keh hazoor ba'sajood honey ko jee chahta hai...be'panah piyar aata hai Uski Pak zaat per keh iss qabil nahin keh itnii barii naemat sey nawaza hai , her waqat naik duaoun ka aanchal phailaye milti hai, aur baap shafaqt ki baahein phailaye, buht qader keryie apne waldein kii, koii nae'mul badal nahin inka...Allah ki zaat sey mera zaati koi shikwaa kabhi nahin raha...bare sey bara loss ho jaye, kitney mushkal halaat houn, ,nah main ney socha aur parwah kii hai kabhi..Uss ki Pak Zaat ney jo soch rakha ho ga wo behtar hii nawazey ga...but bus shikwa ager aata hai tou maa, baap ko jab taklif ya worry main daikhoun, bus main iss waqat sey buht darti houn...yeh buht mushkal hota hai keh jo log apkii zindagii houn , app helpless feel karo aur unkey liye kuch nah ker pao ...mere walid ko jab major heart attack aaya tha...main dar gaii thii kaffi..keh main kuch nahin ker pa rahi thii...but Allah Pak ney bara karam kiyya wo sehatyaab ho gaye, ...even keh ab bhi 2, 3 years ho gaye houn gey...abhi tak mujhe itna dar hai unko kuch ho na jaye...wo raat ko sou jatey hein, main kaffi baar unka heart beat ja ker check kerti hoon..ya kerwat nah badlein kuch hours tak ...apni taraf sey barii chalakii key sath keh mere walid ko pata nah chaly, gehrii neend main hein yeh soch ker n daikh ker tasaalii kerti houn, , aur wo her bar merii chorii paker lay'tey hein, keh raat ko tum ney phir wohii herkat kii hai, jo waqat mera aaye ga tum kaise rok lo gii, mera mazak urra rahy hotey hein, sub keh sath milker , iss bewaqoof ko samjhao, but mere baba ko kabhi samajh nahin aaye ga, ..unhoun ney zamney ki her serd garam sey mujhey mehfooz rakha hai, so unko khouney ka housla nahin...Allah Pak Sub per waldein ka shafeeq-o-raheem sayaa hamesha taan ker rakhein , aur her oolaad ko fermaberdarii key asloob sey , mujhey bhi nawazein/ameen

    buht khush rahyie

    meem sey maa ka daman mila
    yeh duaoun ka maskan mila
    maa ka sayya bara mohtaram hai
    maa kii aaghosh bab-e-karam hai
    maa dua dey tou jhoom uthae rehmat
    maa key qadmoun key neechae hai janaat
    maa key derjey ko jis ney bhi jana
    uss ki thokar main hai sara zamana
    dhoodh key aik qatrey ki qeemat
    ho nahin sakti duniya ki doulat
    maa gar suchey dil sey pukare
    paida toofaan mein houn gey kinare
    louu duaein maa ki tou izet miley gii
    maa key daman mein rehmat miley gii

    shireen ahmed and Saad Sheikh like this.

  3. Saad Sheikh Founder

    Message Count:
    1,956
    Likes Received:
    2,495
    Thanx for liking n sharing your feelings, Jazak Allah khair.

    Aap k walid ki sehet o tandurusti aur zindagi k liye dil say dua go hoon, aap khush naseeb ho k aap ko maa baap ki khidmat ka moqa mila huwa hai aur taufeeq bhi. Dil ko sakoon milta hai jab aap jesay logon say pata chalta hai k abhi bhi yahan bohot say log hein jinhein ahsaas hai aur jo maa baap ko pehchantay hein, qadar kartay hein. Allah qabool karay, ameen.

    bohot khush rahein.

    shireen ahmed and Silent Voice like this.
  4. Silent Voice Star Pakistani

    Message Count:
    13,378
    Likes Received:
    5,741
    SuM AmeeN
    App bhi Khush Rahyie:)

    Saad Sheikh likes this.

Share This Page

Users found this page by searching for:

  1. maa ke liye dua

    ,
  2. meem se maa ka daman

    ,
  3. ma ka bara ma naat

    ,
  4. maa ka drama,
  5. Khuda kay liye Maa ko pehchano,
  6. khuda ke liye drama,
  7. dil ka sakoon ki dua,
  8. meem se maa naat,
  9. zinda rehne to kya hai jo mil gaye to,
  10. ye bhi maa hai,
  11. sakoon ki dua,
  12. naat meem se maa ka daman mila he,
  13. maa ka daman,
  14. meem se hi maa ke daman banaya,
  15. maa ki qadar karo,
  16. apni maa ka dil na dukha,
  17. khud na maa,
  18. maa baap ki dua,
  19. maa baap ki khidmat sms,
  20. meem se maa ka daman mila hna,
  21. khuda ke liye mujhe pyar ho gaya khuda k liye poetry,
  22. mem say ma ka daman naat full,
  23. feelings about maa,
  24. Mujhe itna pyar na do baba - Poetry,
  25. khuda k liyea drama,
  26. mere baba ki kabhi dil na dukha,
  27. maa ka dil of pakisian,
  28. KHUDA K LIYE DRAMA,
  29. maa stories in pakistan,
  30. maa ka dil story