Sad Poetry Kiya Tumhain Main Kabhi Yaad Hi Nahi Aaya

Discussion in 'Urdu Poetry by Topics' started by Silent Voice, Jan 30, 2012.

  1. Silent Voice Star Pakistani

    Message Count:
    13,378
    Likes Received:
    5,741
    Tou kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya?
    Kisi gulaab ki khushboo kay bikharnay par bhi
    Zara say aab kay aankhon main utarnay par bhi
    Kitaab uthatay huay, Geet koyi gaatay huay
    Ittar lagatay huay, choori'yaan pehentay huay
    Sanwar ke der talak aaii'nay ko taktay huay!
    To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya?
    Subha ko uthtay huay, shaam ko teheltay huay
    Neend naa aaye agar karwatain badaltay huay
    Kabhi yoonhi kisi makhsoos dhun ko suntay huay
    Faarigh oqaat main koyi kitaab parhtay huay
    To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya?
    Barastay abr main chhat par kabhi kharay hokar
    Kisi kay rooth kay jaanay pay chirchiray hokar
    Kisi saheli say bus yoonhi baat kartay huay
    Kisi khayal main bethay se uth ke chaltay huay
    Kisi bhi raat ko uth kar yoonhi tehltay huay!
    To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya?
    Akelay yoonhi kabhi apni dhun main chlatay huay
    Kisi ki saalgira par yoonhi beheltay huay
    Kisi oonchayi pe tanha sambhal ke chartay huay
    Utartay chaand ka moujon main aks partay huay!
    To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya?
    Kisi gulaab ko tehni se torr kar bhi nahi
    Kisi darakht ke saaye main beth kar bhi nahi
    Apnay darwazay pe dastak koyi sunkar bhi nahi
    Kisi dareecha-e-makaan se jhaank kar bhi nahi?
    Apni Kitaab main koi naam dekh kar bhi nahi?
    Yaad-e-Maazi main kaheen door doob kar bhi nahi
    Kisi bhi shakhs ko khamosh dekh kar bhi nahi
    Kisi bhi aankh ko num dekh kar bhi nahi
    Kahin lafzon main koi A dekh kar bhi nahi
    Azaan hotay hi aanchal se sar ko dhaktay huay bhi nahi?
    To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahin aaya??

    Silent Smile likes this.
  2. Silent Smile Popular Pakistani

    Message Count:
    1,005
    Likes Received:
    829
    Assalam u Alaikum,

    Bohot Khoob Intekhab, thanks 4 sharing with us.

    keep it up :)

    bohot khush rahen :rose:


Share This Page

Users found this page by searching for:

  1. kya mai tumhe kabhi yaad urdu poetry

    ,
  2. To kya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya

    ,
  3. janu film chat par kharay ho kar main

    ,
  4. urdu poetry kya main tujhe kabhi yaad he nahi aaya,
  5. to kia tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya,
  6. sad poetry kiya yadd ,
  7. kabhi yaad hi nahin aaya,
  8. to kya main tumhe kabhi yaad hi nahi ayaby,
  9. to kya main tumhe kabhi yaad hi nahi aya,
  10. kia mai kahi bhi tumhain yaad hi nahi aya?,
  11. to kya mai tumhe kabi yad he nahi aya,
  12. to kya tumhen main kabhi yad hi nhi aya,
  13. kya main tumhain yaad bhii nahii aya,
  14. to kya tumhe main kabhi,
  15. kya main kabhi yaad bhi nahin aaya,
  16. to kia main tumin kabee yad,
  17. to kya main tumhe kabhi yaad hi nahi aaya,
  18. tou kya main tumhe kabhi yaad,
  19. kabhi yaad hi nahi aya