Ghazal Najaney Kidhar Gaya Wo

Sadaf Khan

Sadaf Khan

New Member
Invalid Email
13
 
Messages
9,445
Reaction score
16,062
Points
951
Gaye Dinon Ka Suraagh Le Kar Kidhar Se Aaya Kidhar Gaya Wo
Ajeeb Manoos Ajnabi Tha, Mujhe To Hairaan Kar Gaya Wo

Khushi Ki Raat Ho Keh Gham Ka Mausam, Nazar Usy Dhoondti Hai Har Dam
Wo Boye Gul Tha Keh Naghma-E-Jaan, Mere To Dil Mein Utar Gaya Wo

Wo Maikadey Ko Jagane Wala, Wo Raat Ki Neend Uraney Wala
Ye Aaj Kia Is Ke Jee Mein Aai Keh, Shaam Hote Hi Ghar Gaya Wo

Wo Jis Ke Kandhon Pe Haath Rakh Kar Safar Kia Tu Ne Manziloon Ka
Teri Gali Se Najaney Koin Aaj Sar Jhukaye Guzar Gaya Wo

Wo Raat Ka Be Nawa Musafir, Wo Teri Shayr, Wo Tera ‘Nasir
Teri Gali Tak To Ham Ne Dekha Tha Phir Najaney Kidhar Gaya Wo
 
@Sara Raees @aadil jahangeer @kuku20 @Aaqib @M Shah @Ayesha Meerab @Namaal @Noor-e-Kainat @Kool Kat @Asad Rehman @ayazuddin @Qazi Shoaib Rehman @ali bukhari @victrezz @amigo @kashif faraz @Noaman @Wanderer @Hafsa @Sajjal
 

yehi zindgi ka usool he
jo bichar gaya use bhool ja
jo mila he dil se laga k rakh
jo nahi mila use bhool ja
Na wo dhoop tha na wo chandni
na charaagh tha na wo roshni
wo khayal tha koi khwaab tha
wo tha aa'ina use bhool ja
Wo jo tere dil k qareeb tha
wo na jane kis ka naseeb tha
tujhe hans k us ne bhula diya
to bhi muskura use bhool ja
 
yehi zindgi ka usool he
jo bichar gaya use bhool ja
jo mila he dil se laga k rakh
jo nahi mila use bhool ja
Na wo dhoop tha na wo chandni
na charaagh tha na wo roshni
wo khayal tha koi khwaab tha
wo tha aa'ina use bhool ja
Wo jo tere dil k qareeb tha
wo na jane kis ka naseeb tha
tujhe hans k us ne bhula diya
to bhi muskura use bhool ja
chal bhula dia r kuch :p
 
Back
Top