December Poetry Poetry Collection

  • Thread starter Janat_ki_Talash
  • Start date
Janat_ki_Talash

Janat_ki_Talash

Well-Known Pakistani
Invalid Email
5
 
Messages
803
Reaction score
2,254
Points
201
Assalam o Alaikum to everone
is thread me december sy related poetry hy hope aap sub ko hi ye poetry collection
pasand aye ga or jo visitor aengy un ko bhi ek sath bht si poetry mil jaegi :)
December ki yeh pehli shaam hi kitni zaalim hai,
Aghaaz-e-shaam hi se yaadon ke baadal chaa gaye..
blue Saad Sheikh siha Ana Ali @anaz Ana Zai @munt Maahi khan munazza @Muntsha Khan
 

Koi jazba adhoora reh geya hai,
December aansu’on mein beh geya hai,
Yeh dil khamosh ho kar reh geya hai,
Najane aaj woh kya keh geya hai,
Yeh aannkhain hain hamari kitni gehri,
Samundar mein samundar beh geya hai,
Tumhare sath wabasta tha sab kuch,
Siwaye yaad ke kya reh geya hai,
Palat kar dekhne per hum ne jana,
Dil-e-nadaan kya kya seh geya hai,
Bohat bheerr hai bazaron mein lekin,
Tera Arshad akela reh geya hai..
 
Ek baar to milne chaly aao December jany wala hy
Kesa guzra hy ye sal batao December jany wala hy
Khush ho jao k milne ka saal aa raha hy phir
Wasi youn na ansu bahao December jany wala hy
Shahid ab k baras bhi wo Loat kar na aye
Tanhaiyo k abi chor k na jao December jany wala hy
Ye kia k raat din uski yaad mein doobay rehna
Na Gham ki barish me nahao December jany wala hy
Ay mere Dukhon k sathiyo khush ho jao
Apny apny Gharon ko sajao December jany wala hy
Kia pata phir DECEMBER aye na aye Jan-e-Wasi
Meri mano ab tm loat ao December jany wala hy
 
Aye december kuch to hosh kar, yeh tujhe kya hua,
Bin barse guzar jana teri adat pehle to na thi…
 
Back
Top