Love Poetry Shaam Key Baad

Aakash

Aakash

Popular Pakistani
9
 
Messages
4,651
Reaction score
12,470
Points
461
Aankh Ban Jati Hay Saawan Ki Ghata Sham K Baad...
Loat Jata Hay Agar Koi Khafa Sham K Baad...

Wo Jo Tal Jati Rahi Sir Say Bala Sham K Baad...
Koi To Tha K Jo Deta Tha Duwa Sham K Baad...

Aahein Bharti Hay Shab-e-HirR Yateemoon Ki Tarah...
Sard Ho Jati Hay Har Roz Hawa Sham K Baad...

Sham Tak Qaid Raha Karty Hain Dil K Andar...
Dard Ho Jaty Hein Sary He Reeha Sham K Baad...

Log Thak Haar K So Jaty Hein Lekin Janaa...!
Hum Nay Khush Ho K Tera Dard Saha Sham K Baad...

Sham Say Pehly Talak Laakh Sulaye Rakhein...
Jaag Uthti Hay Mohabbat Ki Aana Sham K Baad...

Khuwab Takra Kar Palat Jaty Hein Band Aankhon Say...
Jany Kis Jurm Ki Kis Ko Hay Saza Sham K Baad...

Chand Jab Ro K Sitaroon Say Galy Milta Hay...
Ek Ajab Rung Ki Hoti Hay Fiza Sham K Baad...

Hum Nay Tanhai Say Poocha K Milo Gi Kab Tak...
Us Nay Bechaini Say Foran He Kaha Sham K Baad...

Mein Agar Khush He Rahoon Phir Bhi Mere Seeny Mein...
Sogwari Koi Roti Hay Sada Sham K Baad...

Tum Gaye Ho To Siyah Rung K Kaprry Pehny...
Phirti Rahi Hay Mere Ghar Mein Qaza Sham K Baad...

Loat Aati Hay Meri Shab Ki Ibadat Khali...
Jany Kis Arsh Pay Rehta Haay Khuda Sham K Baad...

Din Ajab Muthi Mein Jakrray Huwy Rakhta Hay Mujhy...
Mujh Ko Is Baat Ka Ehsaas Huwa Sham K Baad...

Koi Bhoola Huwa Gham Hay Jo Musalsal Mujh Ko....
Dil K Pataal Say Deta Hay Sada Sham K Baad...

Maar Deta Hay Ujar Jany Ka Dohra Ehsaas...
Kaash Ho Koi Kisi Say Na Juda Sham K Baad....




 
Last edited by a moderator:
Har din nazar aata hai mujhe raat tere baad
Phir zindagi ne chora mera sath tere baad

Mere hont hansi bhoole meri ankh hue num

Kitne bure hue hain halat tere baad

Hain nafraten hi nafraten aa dekh to sahi

Dunia hoi hai kitni badzaat tere baad

Ansoo hain keh ankhon ka bharam rakhte hi nahi
Rukti nahi hai ashkon ki barsaat tere baad

Tahzeeb tujh ko bholna chahe tu kis tarah

Hain dil mein ab bhi tere khaialaat tere baad
 

Mujhe Apny Zabt Pey Naz Tha, Sar-e-Bazam Raat Ye Kia Hoa
Mery Ankh Kaise Chalakh Pari, Mujhe Ranj Hai Ye Bura Hoa


Meri Zindagi Ke Charagh Ka, Ye Mizaj Koi Naya Nahi
Kabhi Roshni Kabhi Tareqi, Na Jala Hoa Na Bujha Hoa


Mujhe Aap Kuen Na Samjh Sake, Ye Apny Dil Sey Hi Pochiye
Mery Dastan-E-Heyat Ka, Hai Warq Warq Khula Hoa


Abhi Abhi Mere Pass Se, Jo Nazar Bacha Key Ghoor Gaye
Ye Mery Shaher Ke Log Hain, Mere Ghar Sey Ghar Mila Hoa


Mujhe Jo Bhi Dushman-E-Jan Mila,Wohi Pukhta Kaar-E-Jafa Mila
Na Kisi Ke Chot Ghalat Pari, Na Kisi Ka War Khata Hoa


Mujhe Ham Safar Bhi Mila Koi, Tu Meri Tarha Hi Luta Hoa
Kabhi Manziloon Se Hata Hoa, Kabhi Qafiloon Sey Luta Hoa

Mujhe Ik Gali Mein Para Hoa, Kisi Bad Naseeb Ka Khath Mila
Kaheen Khoon-E-Dil Sey Likha Hoa, Kaheen Ansoon Sey Mita Hoa

Hamein To Ye Bhi Haq Nahi, Ke Shareq Bazam Khooloos Hon
Na Chehre Pe Apne Naqab Hai, Na Kuch Asteen Mein Chupa Hoa
 
Aankh Ban Jati Hay Saawan Ki Ghata Sham K Baad...
Loat Jata Hay Agar Koi Khafa Sham K Baad...
Wo Jo Tal Jati Rahi Sir Say Bala Sham K Baad...
Koi To Tha K Jo Deta Tha Duwa Sham K Baad...
Aahein Bharti Hay Shab-e-HirR Yateemoon Ki Tarah...
Sard Ho Jati Hay Har Roz Hawa Sham K Baad...
Sham Tak Qaid Raha Karty Hain Dil K Andar...
Dard Ho Jaty Hein Sary He Reeha Sham K Baad...
Log Thak Haar K So Jaty Hein Lekin Janaa...!
Hum Nay Khush Ho K Tera Dard Saha Sham K Baad...
Sham Say Pehly Talak Laakh Sulaye Rakhein...
Jaag Uthti Hay Mohabbat Ki Aana Sham K Baad...
Khuwab Takra Kar Palat Jaty Hein Band Aankhon Say...
Jany Kis Jurm Ki Kis Ko Hay Saza Sham K Baad...
Chand Jab Ro K Sitaroon Say Galy Milta Hay...
Ek Ajab Rung Ki Hoti Hay Fiza Sham K Baad...
Hum Nay Tanhai Say Poocha K Milo Gi Kab Tak...
Us Nay Bechaini Say Foran He Kaha Sham K Baad...
Mein Agar Khush He Rahoon Phir Bhi Mere Seeny Mein...
Sogwari Koi Roti Hay Sada Sham K Baad...
Tum Gaye Ho To Siyah Rung K Kaprry Pehny...
Phirti Rahi Hay Mere Ghar Mein Qaza Sham K Baad...
Loat Aati Hay Meri Shab Ki Ibadat Khali...
Jany Kis Arsh Pay Rehta Haay Khuda Sham K Baad...
Din Ajab Muthi Mein Jakrray Huwy Rakhta Hay Mujhy...
Mujh Ko Is Baat Ka Ehsaas Huwa Sham K Baad...
Koi Bhoola Huwa Gham Hay Jo Musalsal Mujh Ko....
Dil K Pataal Say Deta Hay Sada Sham K Baad...
Maar Deta Hay Ujar Jany Ka Dohra Ehsaas...
Kaash Ho Koi Kisi Say Na Juda Sham K Baad....

Amazing....
Thanx 4 sharing Aakash..
Keep smiling....
 
Aisi Hi Sard Shaam Thi Wo Bhi

Posted by Aakash

Aisi Hi Sard Shaam Thi Wo Bhi
Jab Wo Mahandi Rachaaye Haatho Main
Apni Aahat Ke Khauf Se Larazaa
Surkh Aanchal Main Munh Chhipaaye Hue
Apne Khat Mujh Se Lene Aai Thi
Us Ki Sahami Hui Nigaaho Main
Kitni Khaamosh Iltijaaye Thin
Us Ke Chehre Ki Zard Rangat Main
Kitni Majabooriyon Ke Saaye The
Mere Haathon Se Khat Pakadte Hi
Jaane Kya Soch Kar Achaanak Wo
Mera Shanaa Pakad Kar Roi Thi
Us Ke Yaaqut Rang Honthon Ke
Kapkapaate Hue Kinaaron Par
Saikdon Ankahe Fasaane The
Sard Shaamo Main Der Tak Aksar
Jab Ye Manzar Dikhaai Deta Hai
Ek Lamha Hinaai Haathon Se
Mujh Ko Apni Taraf Bulata Hai
Hamnashin Ruth Kar Na Jaa Mujh Se
Aisi Hi Sard Shaam Thi Wo Bhi
 
muhabbat ka sabab mai tujhse puchun kis qadar
khayyalon mai hai bass tu hee shaam o saher
kuch yoon guzzarta hai tanhaiyyon mai dinn
atay hi shaam ho rubaru tera chehra raat bhar
teri tarah hai neend bhi rooththi hui mujhse
ikk tera deedaar aur chaand taaron pe ikk nazar
taaron ke tootnay kaa abb intezaar rehta hai
k utha ke haath maang loon tujhe phir uss paher
 
lshamkhemaysit.jpg
 
Back
Top