Love Poetry Shaam Key Baad

Aisi lagi udas sar-e-sham zindgi

Jaisy kisi ki aankh ka ilzam zindgi

Apny jahan main dekha tery baad kuch nahi

Hum ne laga di aaj tere naam zindgi
 
Bun K Aanso Tumhari Yaad Phir Umadd Aayi,
Phir Wohi Shaam, Wohi Dard, Wohi Tanhai..
 
Main Apni Raaton Ka Jagna Kis Se Karun Bayan"Aakash",

Bas Aik Tanhai Hai Jo Puchti Bhi Nahi Or Galay Laga Laiti Hai…
 
Be khwab lamho ka
Parastar kon ha,,,

Itni udaas raat main Baidar kon ha,,,

Kis ko ye fikr ha
K Qabeeley ko kya howa…..?
Sb es pa larr rahe hain K sardaar kon ha,,,

100 kashtiyan jala k Chaly sahilon se hum,,,
Ab tm ko kya batayein K us paar kon ha,,,

Ye faisla to shayed Waqt b na kar saky,,,
Such kon bolta ha Adakaar kon ha,,,

Zamaney guzar gaye Ye sochtey
MOHSIN

Main kis ko kahon Apna,
Mera ghum khawar kon hai'
 
Mein Shehar ki Uss Ba-Ronak Gali Mein Rehta Hoon
Jahan Kasrat Se Log Bewafaon ko Yaad Karty Hain..




 
Last edited by a moderator:
Yeh Lehja, yeh Adawat yeh Tarz-e-Mohabbat Tumhara….
Samajh paon to Bikhar jaon, Na samjh0n to Ulajh jaon …



 
Last edited by a moderator:
Back
Top