Writing Contest Urdu Writing Contest - November 2010

Status
Not open for further replies.
Aslam o Alikum to all Silent Bro tehreer tu waqi main buht achi hai i really like :)

Walaikumus Salam S.Sapna g..

bohat shukriya passandedgi ka.. orr app ko achi nahi lagay gi too kisay lagay gi.. akhir sapna ho ya khuaab baat too aik hi hai na :)

bohat khush rahen orr issi tarah hosla afzai kerti raha kejye yeh cheez hamen achay say acha kernay per majboor kerti rehti hai :-? :) :rose:

bhot khob bahi gr8 wording n gr8 thinking MashahAllah bhot behtareen

sarahnay ke lye bohat sara shukriya Sagar bhai :) app ke comments aik aizazi haisiat rakhtay hain meray lye.. bohat shukriya.. khush rahen :rose:

wa veer g, kamal da likhya ey tussi,
phar k suna ve dyo te maza e aa jave:)

tay fair kann idher kero :))

Aslamo ele kum Tamoor bhai bohat umda andaz me ap ne apne khwaab ko Alfaz ke rang me
dhala he dad qabol ki jiye

Walaikumus Salam WR WB Azeezam Ramish bhai :)

app ki daad ka bay hadd shukriya.. yeh too app doston ka rang o khusboo hai jau mujh jaisay kantay men bhi thora bohat yeh khushboo aa gayi :) bohat khush rahen :rose:

Assalam-o-Alaikom

MashaAllah sab ki tehreerain bohut achi hain, Sagar Mardanvi, Ramish Bhai or Taimor bhai kay khwab bohut passand aye, tamam sathion nay apnay apnay khwab bohut khubsurati sey bayan keye, kaash humary bi koi khwab hotay tu aj is khubsurat mehfil ma zaroor share karty,, mujy tu apni aik nazam kay koch shair yaad arahay hain


isliye ma jagta hon

raat bher sota nahi
sowonga tu khwab koi aye ga
per nazer kay samnay koi shajar lehraye ga
per koi omeed dil ma muztareb hojaye gi
isliye ma jagta hon raat bher sota nahi

nazam adhuri isliye likhi kay kahin ap ye na samjain kay ma khwab kay topic per nazam share keraha hon
:), bas yunhi khwab kay hawalay se yahan bohut achi achi batain horahi han tu raha nahi gaya.

Allah ap sab doston ko humaishah khush rakhay Ameen.

W.Salam Tariq bhai,

Ham sabb ke khawab passand kernay ka bohat bohat shukriya :) app ko iss mehfil men dhekh ker bay inteha khush mehsoos ho rahi hai :) jaisay khizan men bahar aa jaye :-?

orr khuaab dhekhna achi baat hoti hai.. zaruri nahi ke her khauaab ki taaber millay.. per khuaab dhekhnay zarur chahyen :)

app nay apni tehreer too nahi paish kee albatta khobsorat shayri say hamen khuaabon kee dunya ki sair kerwayi app ka bohat shukriya khush rahen orr issi tarah hamari mahafil ke zeenat bantay rahaye :-?
 
Silent bro, nasar contest may aap ki tahreer bohat achi hai. khwab ke unwan per khoob likha hai, daad qubool karen :rose:


http://oi54.***********/2cnz1c6.jpg

http://i54.***********/2n16j54.jpg

http://i52.***********/23vmct4.gif
 

Ramish bro, aap ki tahreer bohat umdah hai ji kya kehne aap ke. parh kar acha laga bohat :) :rose:

Aslamo ele kum ehle bazm Khwaab meri soch ke mutabiq kese ho skate hai,n our kese hone chahyie apni soch ko ap ki soch ke samne rakh raha ho,n umeed he meri soch ap ki soch ko qayel kar paye gi INSHALLA



View attachment 186

 
Ramish bro, aap ki tahreer bohat umdah hai ji kya kehne aap ke. parh kar acha laga bohat :) :rose:

Veer ji ap ki Dad parh kar kuch sakoon mila warna ap ke hath me talwar dekh kar to me pareshan tha ke pata nahi veer ji keya saza dete hai,n :)
 
Silent bro, nasar contest may aap ki tahreer bohat achi hai. khwab ke unwan per khoob likha hai, daad qubool karen :rose:

App ke khoobsorat comments orr Daad ka bay hadd shukiry veer g.. issi tarah hamari hosla afzai kertay rahiye :)

bohat khush rahen :rose:
 
story for contest

iqbalkakhawab1.jpg

iqbalka21.jpg

 
Bohat khoob Mir Shahid G :) lekin abhi donon 1st page hi show ho rahay hain.. issay edit ker ke 2nd page add ker dejye takay mukammal taur per app ki tehreer say lutf andoz honay ka moqa muyassa aaye bohat khush rahen :rose:
 
Bohat khoob Mir Shahid G :) lekin abhi donon 1st page hi show ho rahay hain.. issay edit ker ke 2nd page add ker dejye takay mukammal taur per app ki tehreer say lutf andoz honay ka moqa muyassa aaye bohat khush rahen :rose:
aap ka bi jawab nahi... abi ma na upload kiya seconds nahi huwa aor aap na reply bi ker diya... khair edit ker diya ha aor muja bi apna khawab nazar ah raha ha :D
 
Mir Bai,
Bohut khoob Tehreer Likhi Hay App ne, Iqbal ke KHawab ko app ne apne alfaz may jaise bayan kia hay woh Qabil-e-staish hay.
essi Tarah Likhte raheye Aur conest may Shair karte raheye.

Bohut Daad qabool kejeye sarkar.
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top