Nazm Yeh Meri Ghazlien Yeh Meri Nazmein Tamam Teri Hikayatien Hain

N

Noor

New Member
7
 
Messages
1,671
Reaction score
2,148
Points
301
Yeh Meri Ghazlien Yeh Meri NaZmein Tamam Teri Hikayatien Hain
Yeh Tazkeerien Teri Lutf Ki Hain Yeh Shair Teri Shikayatien hain
Mein Sab teri Nazar Kar Raha Hon Yeh Un Zmanoun Ki Sa'atien Hain
Jo Zindgi K Naye Saffar Mein Tugh Ko Kissi Roz Yaad Aaien
To Eik Eik Harf Jee Uthay Ga Pehan K Anfaas Ki Qabaaien
Udaas Tanhaiyon K Lamhon Mein Naach Uthien Gi Yeh Apsaraien

Mughe Teray Dard K Ilawa Bhii Aur Dukh Thay Yeh Janta Hoon
Hazar Gham Thay Jo Zindgi Ki Talash Mein Thay Yeh Janta Hoon
Mughe Khabar Hai K Teray Aanchal Mein Dard Ki Rait Chanta Hoon
Magar Har Eik Baar Tugh Ko Choo Kar Yeh Rait Rang E Hinna Bani Hai
Yeh Zakham Gulzaar Ban Gaye Hain Yeh Aahien-Soz E Ghata Banii Hai
Yeh Dard Mauj E Sabba Howa Hai Yeh Aag Dil ki Sada Bani Hai

Aur Ab Yeh Sari Mata e Hasti Yeh Phool Yeh Zakham Sab Teray Hain
Yeh Dukh K Nohay Yeh Sukh K Naghmay Jo Kal Meray Thay Wo Ab Teray Hain
Jo Teri Qurbat Teri Judaii Mein Kat Gaye Roz o Shab Teray Hain
Wo Tera Shyaar Tera Mughanni Wo Jis ki Batien Ajeeb Si Thien
Wo Jis Ka Andaaz Khusro-Vanna Thay Aur Adaien Ghareeb Si Thien
Wo JiS K Jeenay ki Khwahishien Bhi Khud Uss K Apnay Naseeb Si Thien

Na Poch Us Ka K Wo Deewana Bohat Dinon Ka ujarh Chuka Hai
Wo Kohkan To Nahii Tha Lekin Karri ChatanOn Sey Lar Chuka Hai
WO Thak Chuka Hai Aur Us Ka Tesha Ussi K Seenay Mein Garh Chuka Hai

Bus Yeh Samjh Lo Wo Marr Chukaa Hai...!!!

 

Back
Top