Khushi ya............................!!!!

Heer

Heer

New Member
Invalid Email
11
 
Messages
5,100
Reaction score
7,233
Points
701

Assalam o Alaikum
" Khushi Aur Ghum "

Hum Sabki Zindagi Ke Sath Yeh Do Lafz Zaroor

Chalte Rehte Hain ...... Ek Khushi Aur Doosra Ghum.

Har Insan Ki Zindagi Main Khushiyan Bhi Hain Aur Ghum Bhi Hain .... Per Har Ek Insan Ka In Dono Per Reaction Alag Alag Hota hai ...... Kuch Log Choti Si pareshani Aur Dukh main Haye-Touba macha Dete Hain To Kuch Log Sabr Se Kaam Lete Hain ......... Isi tarhan Khushi Milne PEr Bhi Bahot Se Log Over React Kar Jate Hain Aur Kuch Log Ise Normaly Lete Hue Allah Ka Shukar Ada karte hain ...........

" Allah SWT Khushi Aur Ghum Dono Dekar Hamari Aazmaish Karta Hai "

Aap Bataein Ke Aap Log Kis Tarhan Khushi AUr Ghum Main React Karte Hain ?

Aur Kya Khushi Bantne Se Barhti Hai Aur Ghum Bantne Se Kam Hota Hai ?

Waiting For Ur Replies
 
I am kinda Fun Loving Gal, a lill weird
:p khushi main Full on masti...
Ghum main koi reaction nahi hota like main Statue of Liberty ki terha
aik point per gum sum khamosh khari hojati hon quite weird na... 8-|

I think mery mamly main thora sa different hay meri Khushi share karny say
barhti hay our Ghum bhi share karny say barhta hay :-<
mery dimagh ka aik screw dheela hay ya phir hay he nahi
 
Hmmmmm, lol....Off course hai:) aur screw dheela bhi nahi hai,:p
Infact your have a great sense of humer....thanx for ur reply sis...
 
Bohat umdaah thread lagaya hay ap ne

sab k sochnay ka andaz alag , aur gham aur khushi mein feelings alag hoti hein,,

kuch khushian aur gham esay hotay hein jo bantay bhi nahi ja sktay , wo insaan k andar he rehtay hein
esa hota hay jo khushi ap ko khushi lagti hay ya uss say ap ko sukon ya mussart hoti hay dosron k liye wo normal aur esa he muamla gham men b hay

mera react mostly normal hota hay aur silent rehta hon donon sorton mein

hmmm....thanx for ur reply....
 
jis tarah kay is duniya ma her insan shakal-o-surat kay lehaz sey aik dosry sey mukhtalif ha bilkul osi tarah her insan ki zindagi, mizaj or sochnay ka andaz bi dosry sey mukhtalif hota ha magr per bi koch chezain common hoti hain, jaisy her insan duk ma duki hota ha or khushi ma khush hota ha haan expressions mukhtalif hosakti hain, mery khayal sey khushi sab kay saat bantni chahyin laikin dukh bantnat kelye koi aik aisa dost hona chahye ju apkay dukh ko samajnay wala ho, her kesi kay saat dukh nahi bantnay chaiye quka samajnay waly kum or mazaq uranay waly bayshomar hotay hain, behter ha kay apnay dard ko anmol moti samaj kar apnay seenay ma chopa lainay chahiye or jab dard ka mafhoom samaj ma ajaye or dard apna masbat aser pori shakhsiyat chor jaye tab dard khud bakhud khushbo ki tarah phail jati hai or shakhsiyat ko pur taseer bana daiti hai.

jahan tak dukh or khushi ma react karnay ki baat ha tu mera mizaj is mamlay koch aisa ha kay bohut hasmok hon laikin khushi ma zyada ochal kod nahi karta or na dukh ma munh latka kar bait jata hon, ma humaishah relax mod ma hota hon mery ander chahay khushion kay hangamy hon ya dard ka tofan ho, meri shakhsiyat bahar sey relax hi nazer ati hai. isliye mujper kabi koi tars b nahi khata qk ma kabi dukhi nazer nahi ata :), wahee baat hogai na kay "wo samajtay hain kay bimaar ka haal acha ha"
 
Assalam o Alaikum
" Khushi Aur Ghum "

Hum Sabki Zindagi Ke Sath Yeh Do Lafz Zaroor
Chalte Rehte Hain ...... Ek Khushi Aur Doosra Ghum.

Har Insan Ki Zindagi Main Khushiyan Bhi Hain Aur Ghum Bhi Hain .... Per Har Ek Insan Ka In Dono Per Reaction Alag Alag Hota hai ...... Kuch Log Choti Si pareshani Aur Dukh main Haye-Touba macha Dete Hain To Kuch Log Sabr Se Kaam Lete Hain ......... Isi tarhan Khushi Milne PEr Bhi Bahot Se Log Over React Kar Jate Hain Aur Kuch Log Ise Normaly Lete Hue Allah Ka Shukar Ada karte hain ...........

" Allah SWT Khushi Aur Ghum Dono Dekar Hamari Aazmaish Karta Hai "

Aap Bataein Ke Aap Log Kis Tarhan Khushi AUr Ghum Main React Karte Hain ?

Aur Kya Khushi Bantne Se Barhti Hai Aur Ghum Bantne Se Kam Hota Hai ?
Waiting For Ur Replies

ghum mien saber aur khushi mein shukar ada kartey hain

khushi bant lety hoon aur ghum chupa lety hoon sirf unhi ke samne kehty hoon jo mujhe samjhtey hain​
 
ghum mien saber aur khushi mein shukar ada kartey hain​
khushi bant lety hoon aur ghum chupa lety hoon sirf unhi ke samne kehty hoon jo mujhe samjhtey hain​
ye zyda acha hai k jb khushi malay to allah ka shokr ada krna chaye mgr is kushi may kuch asa na kr jay k jo ksi ko bura lgay q k insan zyda kushi may wo kuch kr jata hai k usay pata he nahi chalta k us na ksi ka dil duka dya hai r agr insan ghum may b hai to usay allah ki marzi samaj kr kabul kray r kush rhany k kushis kray allah ap sb ko bht kushia dy.
 
Back
Top