Ashaar Bachpan Ki Neend

Woh bachpan ki neend tou ab ik aas ban k reh gayi...

sheri

Kia umer thi k raat hoi,Palkain jhuki or sou gaye...!!

Assalam_O_Alykum!

Wa ji Wa ...bachpan yad dila diya je apki luvly n bubly sii sharing ney :)
but main bachpan main bhi kafi late night tak jaagti thii ...n still having same habbit ...
meri sis main uskey sath souti thii aur uski kaan ki baali key sath khailney ka buht adat tha, wo daant'tii thii dular sey,sou jao, tou main kafi dair tak jaagti thii keh jab yeh sou jaye gii tou main iski kaan ki baali key sath khailoun gii ..ha ha .suhaney pal, raatein yaad aa gain

thanx 4 sharing :)

khush rahyie

 
gud silent voice.......bachpan boht acha tha na kisi cheez ka pata hota tha na tension hoti thi...kash ye sab wapas aa jaye

Sub sey aachi baat bachpan ki yeh hoti hai , insan jab bacha hota hai uss main banawat nahin hoti, masoom hota hai, jaisey jaisey zindagi key, umer key marahil/stages paar kerta jata hai , masoomyet, bachpany per ek khoul ki trha chalaki, makaarii, aana shuru ho jati hai..haqeeqat saazi sey zamana saazi key sanchay main dhal jata hai ..cunning sa :(

but bachpan key pal her insan je sakta hai dusray bachoun key sath bacha ban ker unkey bachpan main jee ker ...but wo masoomiyet wapas nahin milti...but hum tou abhi bhi apney bachpan main jeety hein...mere Abba je abhi bhi mujh sey wohi sawaal kerty hein .." Tum apney Abu ki zayadh baeti ho ya Maa ki ?" ...ha ha aur mera jawab wohi jo chouti thii tab tha...yeh tou wohi baat hai kaab idher sey pakro ya udhar sey hota kaan hii ..tou baba app dil maa dherkan...app ki khushi dono kja sath meri saaans ..yeh aisi cheezein hein jin key baghair zindagii mukin nahin hoti ...lazim o malzoom :)

khush rahyie ...baroun , bachoun ko waqat dijye app bachy hi rahein gay ...bazurg bhi kissi bachy sey kam nahin hotey, mere baba uttni hi dair lagaty hein dawa khatey jitna mera chouta bhateja ...nakhry kerty..buri shakal banatey
 
Back
Top