raja b
Star Pakistani
Invalid Email
11
- Messages
- 5,939
- Reaction score
- 12,831
- Points
- 701
kab yaad mein tera saath nahin, kab haat mein tera haat nahin
sad-shukr ki apni raton mein, ab hijr ki koi raat nahin
mushkil hain agar halat wahan dil bech aa'ein jaan de aa'ein
dil walo kucha-e-janan mein kya aise bhi halat nahin
jis dhaj se koi maqtal mein gaya wo shaan salamat rahti hai
ye jaan to aani jaani hai is jaan ki to koi baat nahin
maidan-e-wafa darbar nahin yaan nam-o-nasab ki puchh kahan
ashiq to kisi ka naam nahin kuchh ishq kisi ki zaat nahin
gar baazi ishq ki baazi hai jo chaho laga do Dar kaisa
gar jeet gaye to kya kehna haare bhi to baazi maat nahin
Faiz Ahmed Faiz