Biwi Ka Baghair Ijazat Phone Call Karna

@Tariq Aziz U said ,"Allah ne insan PR trust kr k duniya mai bheaja" .... I can't understand :(

Apki baat apni jaGa theak hy but Ana ka point of view different hy . I AGree to @Hafsa ... Trust is necessary
 
@Ana Zai , her insan apnay andaz sey sochta ha, or ikhtilaf ka paida hona bi aik masbat tasor ha, aik sehat mand ikhtilaf k baad he asal matlub samaj ma ata ha, Allah nay apnay paaak kitab ma insan ko achay or buray 2no rasto ka wazeh tor per samjaya ha, magr per bi daikha jaye tu insan batka howa ha, iski waja yahee hai k Allah kay qanoon ki implementation nahi hai, jin pabandion ka Allah nay ziker kiya ha jab tak wo practically qanooni shakal ma nahi ati tab tak oska faida pori tarah sey nazer nahi aye ga. humary Sahaba (R.A) ky daur ma jab islami qanoon nafiz hogaya tha tab her insan trust k qabil tha, kiya hum trust k matlub ko samajtay hain? trust ko aik tarbiyat sey guzar ker develop karna hota ha, jab hum bachay ko parhnay kelye school bhejtay hain tu start ma hum q onko school chornay jatay hain or per lainay bi atay hain or per jab wo tora bara hojata hai to itnay sawal o jawab hum onsey q kartay hain takay bachay ka her act humari nazer ma ho or wo kesi bury rastay per na chal parhy, isi tarah jab larki or larkay ma shadi hojati hai wo aik dosry kelye ajnabi hotay hain, larki kesi or mahool sey ati hai jahan onkay maa baap behan bhai hotay hain, or shadi k baad aik dum sey sara koch badal jata hai yahan shoher, susar, saas, nandain or dewar hotay hain, larki ko her qadm phonk phonk ker uthana parta hai, shoher ka farz hota ha kay wo bewi ko her tarah sey samjaye or apnay mahool ma adjust kerwaye ye sab karnay kelye koch batain wo muhabat sey bi samjaye ga or koch baton kelye pabandian bi lagaye ga, takay bewi yahan ka mahol or yahan rehnay walay logon k sath onkay tariqay sey jeena seek lay per aik time aisa aye ga kay wo yahan mukamal tor per adjust hojati hai tab shoher ka trust bi develop hojata hai, per independently ghar ko chalanay k qabil hojati hai, akser daikha gaya hai kay agr kesi ko bi openly srf trust per chor diya jata ha tu osmay akser log ghalat rastay ikhtyar kar laitay hain or agr aik tarbiyat sey guzarnay k baad trust kiya jata hai tu wo per kabi bi nahi baatak sakta. chunkay shoher ghar ka sarabara hota ha isliye mahool ko tek rakhnay kelye ju bi zaroori hoga osko karnay ka ikhtiyar hasil hai, yahee mian bewi agay chal ker jab maa baap bantay hain or per aik family jinko in dono nay mil kar chalana hai.
 

Sab se pehle jaan lena zaroori hai k situation kya hai phir uss k baad faisla kiya jaa sakta hai k aya shohar ka ye rad e amal sahi hai ya ghalat. Agar situation aisee hai k maa apni beti ko ye soch de rahi hai k tum apne saas sasur se alag hokar shohar k saath aik alag ghar main raho aur woh apni beti ko mukhtalif ideas deti hain k kaisay apne shohar ko uss k maa baap se alag kar k alag raha jaye. Tho phir situation main shohar ka ye rad e amal bilkul sahi aur shariat k mutabik hai. Warna waisay shariat shohar ko ye ijazat nhi deta k woh apni biwi ko maa baap se baat karne ya milne se rokay agar rokay gaa tho gunahgaar hoga. Han Agr aisa hai k shohar baghair kisi waja k apni biwi ko maa baap se baat karne ya un se milne se rokta hai aur biwi apne shohar ki baat na maan kar apne waldain se milti hai ya baat karti hai tho iss soorat main biwi gunahgaar tho nhi hogi lekin iss amal se ghar main intishaar paida hota hai tho behtar hai k woh apne waldain se na milay aur na baat kare. Dekhye rozay ki halat main kuch bhi khana ya peena jaiz nhi agar kuch khaya ya piya tho roza toot jata hai lekin iss k bawajood shariat kehti hai k agar shohar bud mizaaj hai aur khanay main namak kam ya zyada honay se shohar naraz hoga aur intishaar paida hoga tho shariat biwi ko rozay k halat main uss khanay ko chaknay ki ijazat deta hai. Hazrat Ayesha Siddiqa Radi Allahu Tala Unha ne aik din Aap Sallallahu Alaihi Wasallam se poocha k mardo par sab se zyada haq kis ka hai tho Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya k uss ki maa ka phir Aap Radi Allahu Tala Unha ne poocha k Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam aurto par sab se zyada haq kis ka hai tho Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya k uss k shohar ka.
Aik Sahabiya ne Aap Sallallahu Alaihi Wasallam se arz kiya k Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam shohar k Mujh par kya huqooq hain tho Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya k agar teray shohar k tamam jism par danay ho aur uss se peep nikal raha ho aur too uss ko chaatay tab bhi tum uss k huqooq ko poora nhi kar sakti. Lihaza shohar ka bara maqaam hai. Yahan tak k nafli ibadaat bhi aap shohar ki ijazat k baghair nhi kar sakti. Shohar ki itaat biwi par farz hai. Han agar shohar kisi ghair sharai kaam ka hukm de tho phir shohar ki itaat farz nhi hai balkay uss k mukhalif jana farz hai. Shayad aap sawaal kar sakte hain k Roza torna gunah hai jo k shariat k khilaaf hai aur aap ne abhi kaha k shohar agar bud mizaaj hai aur khanay main namak kam ya zyada honay se shohar naraz hoga aur intishaar paida hoga tho shariat ne biwi ko khana chaknay ki ijazat dee huwi hai. Tho agar aap ghor karay tho main ne aik jumla likha hai k shariat ne ijazat dee huwi hai tho jis cheez ki ijazat shariat deta hai woh tho phir shariat k khilaaf na huwa balkay ain shariat k mutabik hai. Doosra ye sawaal bhi aap k zehen main aa sakta hai k jab shohar baghair kisi waja k biwi ko waldain se milnay ya baat karne se mana nhi karsakta agar karay gaa tho gunahgaar hoga. Aur agar biwi apne shohar ki baat na manay tho intishaar paida hoga Lihaza behtar hai k woh uss ki baat manay aur agar na manay tho gunahgaar nhi hogi. Tho kya ye biwi ka shohar ki ghair sharai itaat karna nhi kehlaye gaa? Agar aap ghor karay tho ye darasal shohar ki itaat karna nhi hai balkay intishaar se bachne k liye waldain se na milna ya batay na karna hai. Aur ye itaat hoti tho iss itaat k tark karne par shariat biwi ko gunahgaar tehrati lekin aisa nhi hai balkay agar woh shohar k khilaaf ye amal karay gee tho bhi woh gunahgaar nhi hogi.
 
JazakAllah @Shahzad Ahmad Khan n @Tariq Aziz :)
 
BIWI bhai aaj ka jamana aisa hai k har cheez smart ho jati hai..... aaj ka dour aisa hai k har jaga dhiyan rakhna parta hai.... jaruri nahi wo ek SHAK hee ho apni ijjat subko pyari hoti hai...koi husband nahi chahega k uski biwi koi aisa kaam na karde k koi uspe thuke... jahir si baat hai phir jab biwi aisi niklegi to ijaat to husband ki bhi jayegi.... aur aaj kal ki londiya koi doodh ki dhuli hui to hoti nahi hai.... husband soya ho aur phir ya itna yakeen kare uspe phir pata chale k uski biwi ne line chordi hai... train patri se utar gai hai... phir kuch nahi hota.... phir ek bar kagunga wo SHAK nahi hota.... ijaat ka darr hota hai...aurat ek seetani jaat hai
 
Back
Top