Saad Sheikh
Founder
Staff member
11
- Messages
- 5,988
- Reaction score
- 15,968
- Points
- 716
Asalam u alaikum PWPians
Aap sab ko meri taraf say bohot bohot Eid Mubarak
Dua hai Allah SWT ham sab ki Qurbani aur ibadat qabool farmaye aur dunya o aakhirat may hamaray liye asaniyan farmaye, ameen.
Pakistan Web per meri ghair haziri ki waja pehlay tou bimari rahi (is saal Feb may meri tabiyat achanak bohot zyada kharab huwi aur 6 mah ka arsa main zair e ilaj hi raha aur rest kiya. Is doran @Veer nay pehlay say izafi zimay dariyan uthayi, main un ka shukr guzar hoon. mujhay Allah SWT nay aik nai zindagi di Allah ka jitna shukr ada karoon kam hai. in 6 mah k doran mera business bilkul khatam ho gaya jo main guzishta 10 saal say kar raha tha.) aur ab meri ghair hazri ki waja naya business hai jo main build kar raha hoon. Al-hamdulillah is mah ham nay opening kar li hai aur response ab tak behtareen hai, main nay @Veer ko bhi is business may shamil kiya hai is liye yeh bhi ab yahan pehlay ki tarah time nahi day sakein gay. Abhi start hai is liye hamein zyada time lagana aur zyada mehnat karna hai, jab set ho jaye ga tou ham yahan k liye bhi waqt nikal sakein gay. Insha Allah.
Hamari poori koshish rahay gi Pakistan.web.pk aur sister websites qaim o daim rahein aur mumkin hai is k liye ham yahan new active admins bhi laa'ein jo websites ki activity continue rakhnay may help karein, lekin fil haal hamara focus business per hai kyun k us k baghair websites k expenses bhi adaa nahi kiye ja saktay, Aap sab say dua ki request hai. Allah ham sab ka hami o nasir ho, ameen suma ameen.