Ghazal shauq-e-dil fikr-e-dahan men hai jo rahbar ki tarah

Falak

Falak

Super Star Pakistani
I Love Reading
15
 
Messages
11,348
Reaction score
19,975
Points
1,236
shauq-e-dil fikr-e-dahan men hai jo rahbar ki tarah
DhunDhta huun chashma-e-haivan sikandar ki tarah

meri aahon ko abas hai na-rasai ka gila
dil men ghar karna to sikhen yad-e-dilbar ki tarah

sar se pa tak hai misal-e-gardan-e-taslim ḳham
kis se hota hai adab qatil ka ḳhanjar ki tarah

tha jo vaqt-e-qatl arman-e-ham-aghoshi mujhe
ḳhuun ki chhinten lipti hain ḳhanjar se jauhar ki tarah

dard-e-dil uth uth ke Dhata hai qayamat jaan par
sham-e-hijr-e-ashiqan hai sub.h-e-mahshar ki tarah

dil ko ankhon ne sujhai hain jo rahen ishq ki
har jagah mujh ko liye phirta hai rahbar ki tarah

yad-e-gesu ik bala-e-jan-sitan hai hijr men
kaate khata hai mira ghar mujh ko azhdar ki tarah

is ko lutf-e-dard us ko lazzat-e-mashq-e-jafa
dil ki aadat bigdi hai ḳhu-e-sitamgar ki tarah

un ki aamad ki ḳhabar sun kar hujum-e-shauq se
kashmakash hai ḳhana-e-dil men bhare ghar ki tarah

misl-e-divana phira karta hai kyon ye roz-o-shab
asman ko bhi hai kya sauda mire sar ki tarah

aap ki ghaflat se saari arzuen mar gaiin
dil mira viran hai ujde hue ghar ki tarah

ban ke shabnam laakh tapken chashm-e-aḳhtar se sarishk
roega kya asman us dida-e-tar ki tarah

tukde tukde dil jigar hain tez fiqron se huzur
aap ki tegh-e-zaban chalti hai ḳhanjar ki tarah

raah men dil nichi nazron se hua jaata hai zab.h
jhuk ke bhi chalta hai vo qatil to ḳhanjar ki tarah

shukr-e-ḳhaliq hai ki be-minnat main hota huun shahid
dil ko yad-e-abru-e-qatil hai ḳhanjar ki tarah

tauba tauba kya ghazab saaqi ki ghaflat ne kiya
sab ki surat dekhta huun rind-e-be-zar ki tarah

hijr-e-saqi men nazar aaya kahin gar shaghl-e-mai
DabDabae dida-e-tar chashm-e-saghar ki tarah

arzu-e-vasl-e-qatil itni hai mujh zaar ko
huun hama-tan surat-e-aghosh ḳhanjar ki tarah

ai ‘nazar’ ishq-e-miyan-e-yar ka hai ye asar
jism-e-laghar jo nihan hai jaan ke jauhar ki tarah

@Recently Active Users
 

Back
Top