Content tagged with Poetry On Barf

Nationality words link to articles with information on the nation's poetry or literature (for instance, Irish or France).

View More On Wikipedia.org
  1. intelligent086

    Ghazal Agar Taluq Pe Barf Aisi Jami Rahe Gee By Azad Hussain Azad

    اگر تعلق پہ برف ایسی جمی رہے گی ہمیں تمہاری‘ تمہیں ہماری کمی رہے گی سمے کا دھارا سفید رُوئی گرا رہا ہے میں سوچتا ہوں وہ زلف کیا ریشمی رہے گی ہمیں مکمل خوشی کبھی کیا نصیب ہو گی ہماری قسمت میں ہلکی پھلکی غمی رہے گی مرے لہو میں بغاوتوں کا رچائو سا ہے مری ہمیشہ صلیب سے ہمدمی رہے گی اے میرے بارش کے...
  2. Ustad

    Ghazal Zabton ki aur Qadron ki Rawani dekhna by Pritpal Singh Betab

    zabton ki aur qadron ki rawani dekhna phir hawa mein chaar-su ek bad-gumani dekhna lamha lamha phailta hi ja raha hai chaar-su shahr mein jangal ki ek din be-karani dekhna chahta hai wo mujhe KHush dekhna har haal mein chhin lega mujh se meri nauha-KHwani dekhna aane wali aur abhi raaten hain...
  3. Ustad

    Ghazal Aandhi mein Charagh jal rahe hain by Akhtar Hoshiyarpuri

    aandhi mein charagh jal rahe hain kya log hawa mein pal rahe hain ai jalti ruto gawah rahna hum nange panw chal rahe hain kohsaron pe barf jab se pighli dariya tewar badal rahe hain miTTi mein abhi nami bahut hai paimane hunuz Dhal rahe hain kah de koi ja ke taeron se chyunTi ke bhi par...
  4. Ustad

    Ghazal Main wo Majnun ke ek Sehra hai mujh mein by Ishaq Veerdag

    main wo majnun ki ek sahra hai mujh mein wo sahra bhi bahut simTa hai mujh mein mujhe KHud se nikalega wo aaKHir ba-nam-e-ishq jo aaya hai mujh mein tumhaari yaad ko kaise nikalun ki baqi kuchh nahin bachta hai mujh mein kisi ke barf se lahje ke hathon ajab shoala sa ek bhaDka hai mujh mein...
  5. Ustad

    Ghazal Saahilon per udasi rahi, Ek nadi phir se piyasi rahi By Gautam Rajrishi

    Sahilon par udasi rahi ek nadi phir se pyasi rahi raat ne nind pahni magar KHwab ki be-libasi rahi husn wo khilkhilata raha ishq par bad-hawasi si rahi aaj phir kuchh na kah piye hum aaj phir baat basi rahi kam na ho lams ki aanch ye barf bas ab zara si rahi jism mandir hua so hua ruh to...
  6. Ustad

    Ghazal Tishnagi achi nahin rakhna bahut by Kishwar Naheed

    Tishnagi achchhi nahin rakhna bahut rauzan-e-gul se use takna bahut dekh kar jis shaKHs ko hansna bahut sar ko is ke samne Dhakna bahut jis ki aankhon mein na jhanka jaega is ki hi tahrir ko paDhna bahut mauja-e-reg-e-rawan hai zer-e-ab apni hasti dekh kar baDhna bahut barf ki manind jina...
  7. M

    Ghazal Intishaar o Khauf har ek sar mein hai by Abdul Mateen Niyaz

    intishaar-o-KHauf har ek sar mein hai aafiyat se kaun apne ghar mein hai zindagi par sab haqiqat khul chuki tu abhi tak KHwab ke paikar mein hai mutmain insan kahin par bhi nahin ek si haalat zamane bhar mein hai raat ki chaTTan se subhen tarash KHwab ki tabir isi patthar mein hai jhuT ki...
  8. M

    Ghazal Har taraf ujli dhanak mausam hua hai barf barf by Masood Hassas

    har taraf ujli dhanak mausam hua hai barf barf naddi-nale hi nahin sahra bana hai barf barf uD rahe hain rui ke gale fazaon mein asir hai lahu bhi munjamid chehra hua hai barf barf ek hasina ki siyah-zulfon pe jhaala yun lage nag kala chhag ke jaise pi gaya hai barf barf muskurana aise...
  9. M

    Ghazal Lahu hi kitna hai jo chashm e tar se niklega by Faza ibne Faizi

    lahu hi kitna hai jo chashm-e-tar se niklega yahan bhi kaam na arz-e-hunar se niklega har ek shaKHs hai be-samtiyon ki dhund mein gum batae kaun ki suraj kidhar se niklega karo jo kar sako bikhre hue wajud ko jama ki kuchh na kuchh to ghubar-e-safar se niklega main apne aap se mil kar hua...
  10. Maria-Noor

    Nazm Yehein par to kahein tumhare labon ne

    یہیں پر تو کہیں تمہارے لبوں نے مرے سرد ہونٹوں سے برفیلے ذرے چنے تھے اسی پیڑ کی چھال پر ہاتھ رکھ کر ہم اک دن کھڑے تھے یہیں برف باری میں ہم لڑکھڑاتے ہوئے جا رہے تھے بہک تازہ بوسوں کی سر میں سمائے ہم آغوشی جسم و جاں کے نشے میں گئی برف باری کی رت اور پگھلتی ہوئی برف بھی بہہ گئی سب یہاں کچھ نہیں اب...

Latest reviews

  • Saad Sheikh
    Muntaha
    5.00 star(s)
    Muntaha is a beautiful Arabic name suitable for both boys and girls. It carries deep meanings of 'goal', 'aspiration', and 'final destination'...
    • Saad Sheikh
Back
Top