5 Questions - What's your opinion?

M Shah

M Shah

New Member
Invalid Email
16
 
Messages
14,851
Reaction score
48,423
Points
1,451
Soch samjh kar aur apni raayai dai dusro k comments se inspire hokai unkai haan mai haan na melaaye ..apni soch ,apna nazriya apna experience apnai feelings


1) agar apko future dhaikna ka moqa melai to aap dhaikna chaahogai ?

2) agar maazi mai apko apkai faislo ko dubaara change karnai ka moqa melai to un faislo ki tadaad kya hoge ?

3) agar mohabbat yaktarfa ho to us mai aap aashiq banna chahaingai ya mashooq ?

4) jo apki zaroorat ho uskai rehna mushkil hai ya jis k leyai ap zaroorat ho uskai sath aur kiyo ?

5) mohabbat .ezzat .ana .etebaar .wafa in mai se 2 ko choose karai aur waja bhi bataayai .
 
@yusra avais @Noor-e-Kainat @Kashf @Ana Zai @ruksana @Areeba Zahra @doctorabidasajid @Kool Kat @Zirwah @Imal @mehernigar
@Ali Akbar @Hafsa @Wanderer @Sajjal @Mastermind @Amina chattha @Noor iman @Falak @rubPzai @Kanwal khan @Porab Keyana @Mr.Hammad @Bella khan. @Asad Rehman . @Wanderer . @Twilight ,. @Qazi Shoaib Rehman . @Neha , @Hareem. @Blue Moon. @bkhan. @Zonyra gul . @ulta . @sara rajput . @drsehrish . @Sania Gull . @syed m. @Sara Raees. @Pinkey. @Ajwah . @kuku20 . @Mahsa . @Hafsa
. . @Syeda Rumessa. @Imaan Shah . @b khan
. . @HumaJaved
 

1)agar apko future dhaikna ka moqa melai to aap dhaikna chaahogai ?
Nope Mujhe nahi daikhna. Jab aik cheez mil jati hai kuch time baad woh boring ho jati hai. And is tarah pehle se pata hoga sab. But Mujhe Surprises bht pasand hain to future aik surprise ki tarah he to hai. To Mujhe Future Nahi Daikhna.

2)agar maazi mai apko apkai faislo ko dubaara change karnai ka moqa melai to un faislo ki tadaad kya hoge ?
Hmm bht si baatein change karni hain bht sari to is liye bata nahi skti ke 2 ya 3 ya 4. Bht sari hain bs.

3) agar mohabbat yaktarfa ho to us mai aap aashiq banna chahaingai ya mashooq ?
Mujhe Yaktarfa Muhabbat pe yaqeen he nahi na he karni hai. Dono taraf khuloos ho dono taraf izzat muhabbat pyar ho to thek nahi to Tata Ba bye.

4)jo apki zaroorat ho uskai rehna mushkil hai ya jis k leyai ap zaroorat ho uskai sath aur kiyo ?
Hmm depend karta hai. But kehtay hain na ke Usi kay sath raho jo aapki izzat karay aapko pyaar karay to uskay sath rehna mushkil nahi hoga. Han jiska sath hum chahtay hain to usually aisa hota hai ke woh sath nahi rehta to jo Hamarai zaroorat hai uskay sath rehna mushkil hai. Lekin jisko hamari zaroorat hai uskay sath rehna asan hai.

5)mohabbat .ezzat .ana .etebaar .wafa in mai se 2 ko choose karai aur waja bhi bataayai .
Izzat and Wafa
Aik Larki Muhabbat kay bagair to reh skti hai lekin Izzat kay baghair nahi. Muhabbat khatam bhi ho jati hai but Izzat hamaisha rehti hai and yes Wafa bhi bht zaroori hai Is say relations bilkul thek chaltay hain. Jis relation mai wafa aitebar na ho woh toot jatay hain.
 
You always come up with interesting questions dude...masomana tou murr k bhi nahi kahon gi :p

1)agar apko future dhaikna ka moqa melai to aap dhaikna chaahogai ?

Nahi! is k bajai mai future banany waly per kamil yaqeen rakhna chahongi.

2)agar maazi mai apko apkai faislo ko dubaara change karnai ka moqa melai to un faislo ki tadaad kya hoge ?
''0'' ....maazi mai jo bhi decision lia us mai kahin na kahin Allah ki marzi thi, chahy wo faisla nuqsan-day tha ya faidamand, uss mai kahin na kahin meri bahtari ka ansur tha.

3) agar mohabbat yaktarfa ho to us mai aap aashiq banna chahaingai ya mashooq ?
haha...come on lala... :p
Fittay moh aissi yuk tarfa mohabbat ka.
lakin aap k question mai q k fittay moh ka option nahi tou mai ''aashiq'' ban'na pasand karon gi....kisi ko chahna ...chahay jany say zaida azmat aur hoslay k kaam hai, kum log hi hath daltay hain aissy azeem kaam mai :p

4)jo apki zaroorat ho uskai rehna mushkil hai ya jis k leyai ap zaroorat ho uskai sath aur kiyo ?
Jis k liye mai zarorat hon..... ''zarorat mund hi qadar kertay hain'' ...aur kon nahi chata k us ki loyalty ki qadar ki jai ;)

5)mohabbat .ezzat .ana .etebaar .wafa in mai se 2 ko choose karai aur waja bhi bataayai .

Aitabar aur izzat...ager tesri choice hoti tou 3rd number per wafa likhna na bholti ;)

In sub jawabat k copyright mery paas mahfooz hain koi copy na kary :p :D

@M Shah
 
1. NO

2. 1 decision

3. Kuch b nhi

4. Jis ki mn zarurt hn wo chahy mri zarurt ho ya na ho..us k sath rehna asan ho ga.. qk mry mn murawat buht zyada hy :D aur jo mri zarurt ho pr m uski zarurt na hn usk sath rhna m kbhi ni chahun gi qk self respect b buht hy na :p

5. Wesy muhbt ko pta nhi log q itna light lety hn...real muhbt jo hti hy us mn to izzat..etbar n wafa phly se maujud hti hy..in k bgair b bhla muhbt ki ja skti hy? Agr han to wo to wakti attraction hti hy muhbt nhi...so 2 ko kesy choose krn..ap ka question technically ghalt hy...
 
so 2 ko kesy choose krn..ap ka question technically ghalt hy...
aap sabhi kuch technically galat ker dia karin :D ....mohabbat na bhi ho tou aitabar izzat aur wafa say guzara ho jata hai wo hazrat umer ka qoute yaad hai ?
Must every house be built upon love. What about loyalty & appreciation ?
Omer Bin Khatab r.a
;)
 
Soch samjh kar aur apni raayai dai dusro k comments se inspire hokai unkai haan mai haan na melaaye ..apni soch ,apna nazriya apna experience apnai feelings


1) agar apko future dhaikna ka moqa melai to aap dhaikna chaahogai ?

Nahi, because uskey dekhney se koi faida nahi. Insaan us ki waja se aj maujooda faisley bhi na kar paye ga.

2) agar maazi mai apko apkai faislo ko dubaara change karnai ka moqa melai to un faislo ki tadaad kya hoge ?

Kafi hein, but filhaal sirf 2 yaad arhy hein. Baqi ko mein learning experience kahungi :)

3) agar mohabbat yaktarfa ho to us mai aap aashiq banna chahaingai ya mashooq ?

Itna mushkil sawal :bag:

Um... I think mohabbat krney wala because us par phir bhi apka ikhtiyaar hoga. Agar koi apse muhabbat krta ho tou usko ap badal nahi sakty :D

4) jo apki zaroorat ho uskai rehna mushkil hai ya jis k leyai ap zaroorat ho uskai sath aur kiyo ?

Jo meri zarorat ho. Because mujhy dependency pasand nahi :p

5) mohabbat .ezzat .ana .etebaar .wafa in mai se 2 ko choose karai aur waja bhi bataayai.

Izzat aur etebaar.

Because izzat se bari koi cheez nahi, aur jahan izzat ho aur etebaar khatam ho jaye, tou woh dono ko demak ki tarha kha jaye gi.

IMG_2777.JPG



Mohabbat, ana aur wafa etebaar ke rishty se qayem kye ja sakty hein. Lekin etebaar aur izzat k bina in mein se kuch bhi na ho.
 
Back
Top