Urdu Kahani Abhi Imtehan Aur Bhi Hain By Aadil Jahangeer - Episode 1

  • Thread starter Aadil Jahangeer
  • Start date
Aadil Jahangeer

Aadil Jahangeer

Popular Pakistani
9
 
Messages
3,196
Reaction score
8,022
Points
451
Dear PWPians. ye meri pehli story hy umeed hy ap ko pasand aye ge agar na bhi aye to ap sab ki hosla afazai ka talab gaar rahon ga,

khair andaish
Aadil Jahangeer
Abhi Imtehaan Aur Bhi Hain - Aadil Jahangeer
Episode No-1​

Aj ka din Afnan Ki zindagi ka sab se khoobsoorat tareen din tha, aj Kay din usy apnay baap Kay Khawabon or Maan Ki Duaon ka Samar milnay wala tha.us ne aj se teen maah pehlay kakool academy mein any se pehlay apni Maan se aik waada kia tha aur aj us waaday Ki takmeel ka din tha.

Uth Ja yar aj bhi kia sota rahay ga? Us ne Shamoon Ko koi teesri dafa jhinjora tha, Shamoon us ka roommate tha or WO Sindh k aik jageerdar Ghiranay se taluq rakhta tha, kbi kbi to Afnan KO hairat hoti the k WO yaha KIA kr raha hy, Doran_E_Trabiat us ne dil khol kr apnay instructors se ragra khaya tha. Discipline to usy jaisay usy choo Kay bhi NHI guzra tha, apni be chain fitrat Ki waja se group mein sab se ziada bar saza ka Samna usy krna para tha, lekan tha dheet is liay Medan mein data raha, Afnan Punjab k aik middle gharany se taluq rakhta tha.us ka baap bhi army me tha, khud to sipahi tha lekan apnay aklotay betay Kay liay us ne baray suhanay sapnay dekh rakhay thay..

Zohra mera aik he beta hay us Ki tarbiat Is andaz se krna k mujy apnay RABB or dunia k samnay kbi sharminda Na hona paray, jab bhi us ka baap Raheem chutti pe ghar ata us ka uski maan se aik he mutalba hota, Lekan UN sapnon Ki tabeer Panay se pehlay he Raheem watan pe qurban ho Gaya, Afnan 8 Baras ka tha jab us ka baap Indian army k sath Cargill War me Sheeron Ki tarah lartay huway shaheed ho Gaya tha,

Zohra ne Raheem Ki Shahdat Kay Baad AFnan k liay apni dunia tiagh di.unho ne maan or baap ka farz khoob nibhaya, aur Afnan ne bhi kbi UN KO mayoos NHI KIA. Aik to tha bala ka zaheen doosra or use bachpan se he is cheez ka ihsas tha k Uski Maa ne usy lay k bht baray sapnay dekh rakhay hain. Or aj UN sapnon Ki tabeer ka waqt aa Gaya tha,

Passing out Parade mien Afnan ko us Ki shaandar performance pe sword of honor se nawaza Gaya tha, or ab wo lieutenant Afnan tha, Pak Fauj ka Aik Jari Mujahid. Apni Maa k chehray pe khushi Kay damktay rang dekhnay k liay us Ki aankhain betaab thein, us ka dil kr raha tha waqt or usy par lag Jain or WO foran se peshter apni Maan K qadmo me ja pohanchay.

***********

Papa me aj University se late aon Ge, Hamda ne Akhbar Partay brigadier Mujahid KO muttlaa KIA, Driver KO bhaijnay Ki zroorat NHI hy me sharmeen Kay sath aa jaon Ge.

Q bhae aj kia hy?

Brigadier sahib ne nazrain Akhbar se nazrain htatay huway apni Akloti or ladli beti Ki taraf sawalia nazron se dekha...

Uff ho papa aj hamary university me ek adbi tanzeem Ki janib se taqreeri muqablay or mushaairay ka ehtimam kia Gaya hy, or us k Baad mujy sharmeen k sath bazar bhi Jana hy, sharmeen us Ki class mate aur best friend the.

Ok Beta apna khyal rakhna or Muqabla jeet kar he Ana, brigadier sahib ne muskratay huway kaha.un Ki posting in dino Quetta me the aur yaha k makhdoosh haalat Ki waja se WO Hamda KO tanha kam he kahi bahir Janay detay thay.

G papa hum jeet k he aye gain ISHA ALLAH.us ne baray yaqeen Kay sath daawa KIA. Aur ye daawa kuch aisa ghalt bhi NHI tha, WO bala Ki zaheen or taiz dimagh the, Urdu adab se Mohabbat use apni Maa se wirsay me mili the, UN ka kuch saal pehlay he Cancer Ki waja se inteqal ho chuka tha...

Hamda sahafat me Master kar rhe the or us k iraday dekh Kar lagta to yehe tha k WO sahafat k Medan mein qadam rakhtay he khalbali macha day Ge...

************

Afnan Kay ghar puhanchtay he us Kay khandaan walo or dosto Ki taraf se us ka shaandar istaqbaal KIA Gaya tha, Zohra khatoon k aansow thay Kay thamnay ka naam NHI lay rahay thay, YA ALLAH tera shukar hy tu ne mujy Raheem or apni nazron me surkhroo kia,, Un Ki zuban pe yehi kalmaat najany kab se jari thay, lekan ab betay Ki judai k khyal se bhi Maa Kay seenay se hole uth rahay thy.

Afnan ne Maa ko sochon me Ghum paya to Maa Ki Goad me sir rakh K lait Gaya,

Mujy pata hy ap kia soch rhe hain, fikar na karain me Posting hotay he ap ko bhi apnay pas bhula lon ga.Maa ne khushi Aur dukh Kay Millay julay jazbat me uski peshani ka bosa lia, AFnan ko laga jaisay jannat simmat kar us k pas chali aye hy...

**********
 
Last edited by a moderator:
University me khasi gehma gehmi the. Soobay Ki aik bht bari siasi shakhsiat ko chief guest k tor pe bulaya gaya tha.taqreer ka topic tha, Soobay me bharti hoi dehshat gardi Ki wajohaat,

Hamda ka mukhalif student aik qoam parst tanzeem ka sargarm rukan tha.

Us ne apni taqreeri me ye sabit krny Ki poori koshish Ki the k Soobay k kharab hotay haalat ki zimmay daar Pakistan army hy,

Jawab mein Hamda ne bharpoor dalail k sath ye sabit kia k soobay ko darpaish halat k zimmay daar parosi mulk hain jin ko Pakistan ka wajood aik ankh nhi bhata, ghairo Ki sazishon me shamil kuch apnay bhi hain.Mukhalifeen Ki dhajjian uranay Kay Baad wohi hamesha ki tarah pehlay No Ki haqdaar thehri the...

Sharmeen Zara thehro mein aik kitab lay lon yar, book stall pe nazar Partay he us ki shairna hiss aik dam se bedaar hoi the, use aik nay ubhartay huway shair ki wo book bht pasand aye the jisay us ne us waqt hath me tham rakha tha, wapis paltay huway us ki nazar achanak he Pakistan army k tarjuman Monthly magazine Hilal pe pari the jis k sarwarq pe aik cadet hath me Talwar liay prade ki qiadat kr rha tha,najanay kis jazbay kay tehat us ne usay bhi kitab kay sath he pack krwa lia...



Baqi INSHA ALLAH Next Week agar ap logon ko pasand aye to:p
 

@aadil jahangeer,@~Bella~ ,@Wanderer ,@pari shan, @nadia ahmed awan,@Syed Munawar Shah. @Hafsa . @Mastermind. @Noor-e-Kainat , @Eshaal'z . @masoom-si-dua . @Masoom Dil , @Hareem . @Ali Akbar . @ali bukhari , @Sajjal . @Namaal . @Blue Moon . @siha . @Zoufishan , @tiny bud , @Twilight @Neha , @Zahra N, , @Sara Raees , @Sobiahmad ,@kuku20 , @komal kaju . @alifarhan , @Taskeen, @inaya, @HEART BROKEN , @Snaya , @rudegirl , @Neha , @Emma Dil . @Khudeeja Bashir,@HeartDisk, @Noor-e-Kainat @kuku20 @komal kaju ,@HeartDisk @alifarhan ,@raja b,@Sadaf Khan,@javeria Khan ,@Javaria Tariq ,@M Shah ,@Sarah louis,@sweet.azm ,@Veer ,@Saad Sheikh
 
bht hi achi koshish... story line achi h...but is ko agr aisy likha jaey k pta lgay hm wahan mojod hn na k as a story prhen...:) i hope ap mind ni karain gy...:) just a suggestion..:)
 
Back
Top