Afsana Aik Khayal

Status
Not open for further replies.
N

Noor

New Member
7
 
Messages
1,671
Reaction score
2,148
Points
301

Aik Khayal

Wo shakhs raat ki tareeki main ,kohrey se atti sarak per tanha ja raha tha ,kohrey ki wajah se hath ko hath sujai na de raha tha lkn who apney paon se aik pathar ko thokrain marta hoa ja raha tha,,
Usi kohrey ne aur sanatey ne aik ajab sa saman paida kia hoa tha, who shakhs apni hi dhun mian magan ja raha tha,,phir us ne gungunana shuroo kar dia

Chahey Kaho Isey Mere Mohabat Chahey Hansi Main Urra do

Aur phir who khud hi hansney laga,,,sir ko jhatka aur Nayera Noor ki ghazal gungunaney laga

Her chund sahara hay terey piar ka Dil ko
Rehta hay magar aik ajab khauf sa Dil ko

Ya saans ka lena bhi guzar jana hay ji se
Ya morka-e-ishq bhi ik khail sa Dil ko,

Ik khawb keh dekha na kabhi le urra neendain
Ik dard keh utha na kabhi kha gaya Dil ko,

Phir us ka hath ankhon k aas paas kuch nami ko khatam karney k baad hawa main lehraya aur who phir se apni dhun main magan chalta gaya,

Pata nahin kis haqeeqat se nazrain chura raha tha woh aik kashmakash ka shikaar tha ,isi tarah chaltey chaltey who samandar kinarey pahunch gaya,
Aik pathar per baith kar choti choti kankaryan pani main phainkta gaya aur ginta raha
Aik ,Do,Teen,,Char,Panch,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,, ,,,,,,,,,,,,,,,,,

isi tarah bethey bethey pata nahin kitna hi time guzar gaya,
yakayak us k cell phone ki bell buj uthi

haan yaar aa raha hun kuch hi deer main keh kar us ne Mobile off kar dia

phir who wahan se uth gaya,,,cornich road per chaltey chaltey usey ahsas hi na hoa keh who kitni door nikal aya hay,
phir jaisay usey aik dum hosh aya ho us ne hath main bandhi gharri per time dekha to 12 bajney waley they who wapis murra aur ghar ki taraf chal dia

wapsi per usey aik buzurg admi nazar aya jo sarak kinarey parrey bench per beth kar cigerate pe raha tha,

idher aao beta ,buzurg ne awaz di
ji aap ne mujhey pukara ,us ne heran ho kar un se kaha
haan main aap se mukhatib hoon idher ayeye
ji?us ne paas ja kar poocha
buzurg ne usey bethney ki dawat di,,woh na chahtey hoy bhi beth gaya
kia name hay beta???
Ji,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,
Kia bechaini hay tum ko ,,,,,,,,beta?
Ji kuch bhi to nahn,,us ne sir hila k jawab dia
Kia ghar ki yaad aa rahi hay?
Ji bilkul bhi to nahin,,,,,, us ne benyazi se sir hila k jawab dia
To phir kia baat hay?buzurg ne phir poocha
Ji kuch nahin uncle bileive me
Main bataon kia baat hay???buzurg ne kaha to us ne achanak sir utha k un ki taraf dekha ,

,,,,,,,,beta tum sarab k peechey bhag rahey ho ,tum jo sochtey ho who koi samajhta nahn aur tum jo samajhtey ho who koi sochta nahin
ye jo samandar nazar aa raha hay na peechey,,bilkul isi ki tarah waqt ko nigaltey jao aur waqt k sitam sehtey jao ,khud mian isi k jaisai la parwahi paida kar lo
dekho is ki zindagi main kitney hi haseen log is k samney aye hon gay is ki shararti lehrain bhi un haseen logon ko hasil karney k lye lapakti hain lkn ye zalim un ko bahar nikalney se pehley hi kuchal deta hay,,
is samandar aur in lehron ki misal bilkul tum aur tumhari khahishat hain,,,
khud per abar karna chorr do kion keh jabr karney se dilon main jo toofan paltey rehtey hian who isi samndar ki tarah aik din bahar nikaltey hian to tsunami ki tarah tabahi hi phailatey hain,
us ne sir uthaya aur baba se poocha uncle main jo sochta hun who koi samajhta kion nahin aur main jo samajhta nahin hun who koi sochta kion nahn?

Beta tumharey sawal ka jawab tumharey sawal main hi posheeda hay.
Dekho,tumhari shakhsyat do hison main but chuki hay,,tum samjhtey ho keh tum who nahin chahtey jo tumhari dastaras main nahin,lkn tumhara ander anjaney main usi cheez ki khahish kar bethta hay aur tumhara lashaoor us khahish hi k gird ghoomta rehta hay,,shaoor aur la shaoooor ki is jung main tum dunya se benyaz ho jatey ho aur phir dunya bhi tum se be niyaz ho jaty hay,achanak cell phone phir buj uthta hay
aa raha hun yaar bus pahunch raha hun kuch hi deer main tum log khana kha lo,

acha uncle main chalta hun bahut deer ho gay hay

theek hay beta jao Allah ki aman

phir who wapis ghar ki taraf chal dia,dimag main baba ki batain hi gardish kar rahi thin keh

tumhari shakhsyat do hison main but chuki hay,,tum samjhtey ho keh tum who nahin chahtey jo tumhari dastaras main nahin,lkn tumhara ander anjaney main usi cheez ki khahish kar bethta aur tumhara lashaoor us khahish hi k gird ghoomta rehta hay,,shaoor aur la shaoooor ki is jung main tum dunya se benyaz ho jatey ho aur phir dunya bhi tum se be niyaz ho jaty hay,

phir who aik dum ruka jaisay usey kuch samajh aa gaya ho,who achanak murra aur usi taraf daurr laga di jahan who baba se mila tha,
lkn ab wahan kuch bhi nahin tha na baba na hi cigerate k who do tukkrey jo baba ne us se baat kartey hoy phainkey they aur jinhian us ne khud apney hi Jootey se ragrra tha..
usey wahan se gaye hoy sirf 5 minut hi hoye they laikin hazar koshish k bawajood who baba usey na miley,,
phir jaisay usey shaoor aur lashaoor wali baat samajh aa gaye thi us k chehrey per sakoon ki lehr daurri
aur ab who ghar ki taraf ja raha tha
laikin is baar who ye song gunguna raha tha

Terey ISHQ main jo bhi doob gaya
Usey dunya ki lehron se darna kia
Jisey darya ka pani jeevan de
Usey darya ki lehron se darna kia
 
waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaah
ap ki thread ko read kr k kuch lamhon k liye apnay ap ko usi jaga feeeeel kia

mazaaaaaaa aa gia behna keeep posting
 

Really good, thread Noori....keep posting
 
no doubt good,thread..........
keep it up.........b happy.......
 
Most wwelcome dear sis
 
Gr8 sharing.. Wah kya khoob likha hai! Kayee pehloo'on ko bay dardi say bay niqab ker dala musanif nay.. bohot khoob! bohot maza aaya parh ker! woh baywakoof baba ko dhondh raha tha orr baba uss ke ander mojod tha phir shayad andhera khatam hoa orr uss nay ussay paa lya!

bohot khush rahen
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top