Fallen Angel
New Member
Invalid Email
4
- Messages
- 361
- Reaction score
- 139
- Points
- 131
aik nazm kho gaye hai
duniya ki wosato'on main
kuch lafz is ke gum hain
neelay samandaron main
kuch harf mit gaye hain
mo'sam ki barishon main
is ka koi kinaya
badlon ne le liya hai
hanso'n ki dhajh main is ka
ahang kho gaya hai
unwa'an, ruftagan ke
khawabon main jagta hai
uljhi hoye hain rahain
main jin pe chal raha hoon
bikhray howay hain manzar
main jin main ghir gaya hoon
is munatshir jahan main
aik nazam dhondhta hoon
duniya ki wosato'on main
kuch lafz is ke gum hain
neelay samandaron main
kuch harf mit gaye hain
mo'sam ki barishon main
is ka koi kinaya
badlon ne le liya hai
hanso'n ki dhajh main is ka
ahang kho gaya hai
unwa'an, ruftagan ke
khawabon main jagta hai
uljhi hoye hain rahain
main jin pe chal raha hoon
bikhray howay hain manzar
main jin main ghir gaya hoon
is munatshir jahan main
aik nazam dhondhta hoon