Aj Ke Din By Me

Ameeen Allahuma Ameeen! :)

Great Sharing! :thumbs up::thumbs up::thumbs up:
 
bohot khoob @Hafsa

Is baar 14 August per bohot kuch chahtay huway bhi kuch nahi kiya, dil per jesay bojh ho koi.. andar say jesay kuch zakhmi ho.. khushi mana'oon ya gham karoon.. jitni baar positive sochnay ki koshish ki aankhon k saamnay meray watan ka behta lahoo aur aahein siskiyan mujhay tarpa ga'een twitter:cryingface:

Aaj main apni haalat ko lafzon ki shakal bilkul bhi nahi dena chahta. Maa'on ki goud say watan k nau nihalon ko sar e baraaz chheen liya jata hai aur koi kuch nahi kar pata.. meri nanhi bachi mujh say zid karti hai papa bahir lay chalein lekin mujhay 10 baar sochna parta hai.. abhi kal ki baat hai hamari market say aik bachay ko chalti huwi bike per maa ki goud say chheen liya gaya.. mujhay koi bata'ye woh maa aaj kis baat ka jashan manaye jis k masoom jigar k tukray ko isi azad dharti k beton nay chand peson ki liye baich diya?

Watan K Liye Aik Dua

Khuda karay k meri arz-e-pak par utray
Woh fasl-e-gul jisay andesha e zawal na ho

Yahan jo phool khilay, woh khila rahey sadiyon
Yahan khiza ko guzarnay ki bhi majaal na ho

Yahan jo sabza ugay woh hamesha sabz rahay
Aur aisa sabz k jis ki koi misal na ho

Khuda karay k na khum ho sar-e-waqar-e-watan
Aur us k husn ko tashvish e mah o saal na ho

Har ek fard ho tehzeeb-o-fun ka auj e kamaal
Koi malool na ho, koi khasta haal na ho

Khuda karay ke meray ek bhi hum watan k liye,
Hayat jurm na ho zindagi wabal na ho

Aur khuda karay k meri arz-e-paak par utray
Woh fasl-e-gul jisay andeisha e zawaal na ho

Ameen Yaa Rabb ul Aalameen.
 
Back
Top