Ghazal Aman Mango Na Un Say Jaan Fagaran , Hum Na Kehtay Thay, By Faraz

Asad Rehman

Asad Rehman

Super Star Pakistani
16
 
Messages
13,866
Reaction score
33,100
Points
1,451
Ahmad Faraz

AmaaN mangon na un say jaaN fagaraN hum na kehtay thay
ghaneem-e-shehr hein chabak sawaraN hum na kehtay thay

khizaN ne tu faqat malboos chenay thay darakhton say
salebein bhi tarashay gi baharaN hum na kehtay thay

taras jain gi hum say be nawaon ke teri galian
hamaray baad ay shehr-e-nigaraN hum na kehtay thay

jahan mela laga he nasihoon ka , ghamgusaron ka
wohi be kocha-e-be aitibaarn hum na kehtay htay

koi dehlez-e-zindan par koi dehlez-e-maqtal par
banay gi is tarha tasveer-e-yaraN hum na kehtay thay

Faraz ahl-e-riya ne shehr-e-dushman hum ko thehraya
bas is karan k mad'he shehr-e-yaran hum na kehtay thay

 
Back
Top