Nazm Apne Maazi Ke Tasawwur Se

Emma Dil

Emma Dil

Super Star Pakistani
Staff member
Digital Library Staff
Baby Names Staff
Invalid Email
15
 
Messages
10,754
Reaction score
26,729
Points
1,216
Apne Maazi Ke Tasawwur Se Harasaan Hoon Main,
Apne Guzre Hue Ayyaam Se Nafrat Hai Mujhe.
Apni Bekaar Tamannaon Pe Shrminda Hoon,
Apni Besood Ummeedon Pe Nadamat Hai Mujhe.
Mere Maazi Ko Andhere Mai Daba Rehne Do,
Mera Maazi Meri Zillat Ke Siwa Kuch Bhi Nahin.
Meri Ummeedon Ka Haasil Meri Kaawish Ka Sila,
Ek Benaam Azeeyat Ke Siwa Kuch Bhi Nahin.
Kitini Bekaar Ummeedon Ka Sahara Lekar,
Maine Aiwaan Sajaye The Kisi Ki Khaatir.
Kitni Berabt Tamannaon Ke Mubham Khaake,
Apne Khwabon Mai Basaye The Kisi Ki Khaatir.
Mujh Se Ab Meri Muhabbat Ke Fasane Na Kaho,
Mujh Ko Kehne Do Ke Maine Unhen Chaha Hi Nahin.
Aur Wo Mast Nigahen Jo Mujhe Bhool Gayin,
Maine Un Mast Nigahon Ko Saraha Hi Nahin.
Mujhko Kehne Do Ke Main Aaj Bhi Ji Sakta Hoon,
Ishq Nakaam Sahi Zindagi Nakaam Nahin.
Unko Apnane Ki Khwahish Unhe Paane Ki Talab,
Shauq Bekaar Sahi Sai-E-Gham Anjaam Nahin.
Wo Hi Gesoo, Wo Hi Nazren, Wo Hi Aariz, Wo Hi Jism,
Main Jo Chahoon To Mujhe Aur Bhi Mil Sakte Hain.
Wo Kanwal Jinko Kabhi Unke Liye Khilna Tha,
Unki Nazron Se Bahut Door Bhi Khil Sakte Hain.
(Sahir Ludhianvi)
 
in short............
kabhi iss dard se guzro to ye maloom ho tum ko
mohabbat wo balaa hai jo dilon ka khoon peeti hai
 
Apna Ta’waan le k Chhorey ga,
Ishq hai, Jaan le k Chhorey ga
 
Mere Maazi Ko Andhere Mai Daba Rehne Do,
Mera Maazi Meri Zillat Ke Siwa Kuch Bhi Nahin.
Meri Ummeedon Ka Haasil Meri Kaawish Ka Sila,
Ek Benaam Azeeyat Ke Siwa Kuch Bhi Nahin.
very nice
 
Back
Top