Nazm Ay Payari Zindagi By Noor-E-Kainat

@Noor-e-Kainat
behna title bohat zabrdast he
aye piyary zindgy

zindgy say piyar bhi bohat hota he
or jesay ap ne likha isi men ghami khushi
andheray ujaly
sb shaml hen

bohat achay khial k tehat likhi he ap ne nazam

taslsal qaim he ap k tasswar ka

kami basss yahi he k
bohatt ziada simple words use kiye hen
thora sa poetic words ki janib twajo dein
or
apnay khial ko jab lagzon men dhaal den tu usay parhein bar bar
ap ko kahin na kahin kuch alfaz extra lagein gay
azad nazm extra words is ko nasar ka rng de detay hen

bohat achi koshish he ap ki over all

bohat khush rahin behna
Allah ap ki zindgy hamesha munawar or pur mussarat rahay Ameeen
likhti rahin or share kerti rahin
 
Thanks a lot @Asad Rehman bhai
Hosla afzai or ghaltioun ki nishan dehi ka bohat bohat shukriya
Mere bro sis b kehty hain tm shairi or nasr mix kar deti ho ...
Anyways agr next time kbhi likha I will try to overcome this...
Thanks for dua
Stay blessed bro :)
 
@Asad Rehman bhai its not the necessary condition after all
As you know its not my field its totally depend on moods and situations
So when the respective moods come I will write and share.
Bro wese maths parhny waloo ki bus ki baat nai :)
 
Back
Top