Birthday Poetry Aye Jaan-E-Kainaat!

Silent Voice

Silent Voice

Star Pakistani
15
 
Messages
10,432
Reaction score
6,416
Points
1,211
Aye jaan-e-kainaat
terii nazr karou.n main kia?
merii chahtei.n , merii wafaei.n
hai Sanam tere wastey
phool, khushbu aur yeh rang sary
zamee.n ke zar'rey, Falak key ta'ray
Chamn key gulaab be'hisaab.....
mussrat key baab sary, hai jaan-e-tammna naam tere
meri chahtoun key rang hein dilkash
merii muhabbatoun key safr main tum ho bus
chandni rut'toun main tum ho
gham ki tamaza'tein nah tum tak aayein
kamraani ki shahraah per tum gaamzan raho
wafa key moti ki yeh mala
tum apney sath hi rakhna, chahtoun ka hisaab rakhna
merii Dua hai Aye jaan-e-kainaat!
iss janam din per
tum jo chaho mujh sey maang lo
main sirf Dua bani houn
main waqat-e-sada bani houn
muhabbtaoun kii ameen houn main tou
chahtoun ki fa'sl houn main
bus1 harf-e-aakhir yeh hai kehna
main houn terii aaye jaan-e-tamnna
iss janam din bus yehii hai kehna
Rab sey houn terii khair kii talib
khush rakhy sada wo tum ko
main bus duaoun ki tasbeeh houn
 

Back
Top