Ghazal Badan main utren thakan k saey to neend aey

Urdu ghazal Badan Mein Utrein Thakan Ke Saye To Neend Aaye in Urdu text, Ghazal by Mohsin Naqvi
oodia ali

oodia ali

Well-Known Pakistani
4
 
Messages
211
Reaction score
268
Points
136
badan main utren thakan k saey to neend aey
ye dil kahani koi sunaey to neend aey

bujhi bujhi rat ki hatheli pe muskura k
charagh e wada koi jlaey to neend aey

hawa ki khwahish pe kon ankhen ujaarta hai
diay ki lo khud se thar thraey to neend aey

tmam shab jagti khmoshi ne us ko socha
wo zer e lab geet gungunaey to neend aey

bas aik aansoo bohat hai mohsin jagne ko
ye ik sitara koi bujhaey to neend aey

(mohsin naqvi)
 
‏بَدن میں اُتریں تھکن کے سائے تو نیند آئے
یہ دِل کہانی کوئی سُنائے تو نیند آئے

بُجھی بُجھی رات کی ہتھیلی پہ مُسکرا کر
چراغِ وعدہ کوئی جلائے تو نیند آئے

بَس ایک آنسو بُہت ہے مُحسِن کے جاگنے کو
یہ اِک سِتارہ کوئی بجھائے تو نیند آئے!!
 

Back
Top