Ghazal Badnaam Agar Hongay To Kia Naam Na Hoga

nizamuddeen

nizamuddeen

Well-Known Pakistani
6
 
Messages
779
Reaction score
1,208
Points
216
taqleed-e-ado say humain abraam na hoga
hum khaas nahi or karam aam na hoga

siyaad ka dil is say pighalna muatazir
jo nala kay aatish figan-e-daam na hoga

jis say hay mujhay rabt wo hay kon, kahan hay
ilzaam kay denay say to ilzaam na hoga

bay daad wo or us pay wafa ye koe mujh sa
majboor howa hay, dil-e-khud kaam na hoga

wo ghair kay ghar naghma sira hongay magar kab
jab hum say koe nala sar anjaam no hoga

hum talib-e-shohrat hain, humain nang say kia kaam
badnaam agar hongay to kia naam na hoga

qasid ko kiya qatl, kabootar ko kiya zibha
lay jaye mera ab koe peghaam, na hoga

jab parda uTha tab hay adoo dost kahan tak
aazar ado say mujhay araam na hoga

yaan jeetay hain umeed-e-shab-e-wisl par or waan
har subha tawaqa hay kay taa shaam na hoga

qasid hay abas muntazar-e- waqt, kahan waqt
kis waqt unhain shughal-e-may-o-jaam na hoga

dushman pas-e-dashnaam bhi hay talib-e-boosa
mahve asar lazzat-e-dashnaam na hoga

rukhsat aye nalaa kay yaan Tahar chuki hay
nalaa nahi jo aafat-e-ijraam, na hoga

barq aayeena-e-fursat-e-gulzaar hay is par
ayeena naa dekhay koe gulfaam, na hoga

aye ahl-e-nazar zarray main posheeda hay khursheed
eizah say hasil baajuz ibhaam na hoga

is naaz-o-taghafil main hay qasid ki kharabi
bay chara kabhi laiq-e-inaam na hoga

is bazm kay chalnay main ho tum keo mutardid
kia sheefta kuch aap ka ikraam na hoga

(nawab mustafa khan sheefta)

badnam agar hon gay to kya naam na hoga.jpg
 
@Wanderer @NaaZS Butt @Blue Moon @Sajjal @Noor-e-Kainat @Hafsa @M Shah @Imal @Eshaal'z @Maria Jan @mujeebkhan786 @Ali Akbar @Kool Kat @ansar @Twilight @Noor E Seher @b khan @breera
 

Back
Top