Ashaar Bait Bazi 2018

Status
Not open for further replies.
@Mishaikh beautiful

Yaad aata hai sakoot-e-shab mei'n woh aksar mujhay
Khainch laata hai meray andar say woh baahir mujhay

ye
 
@Falak Kiya khoob!
ye aalam shauq kaa dekhaa na jaaye
vo but hai yaa Khudaa dekhaa na jaaye

ye
 

@Mishaikh wah...

yon to hum dono mein hain kitne zamane hayal
tum bulate ho to lamhe mein palat ata hon

Noon
 
Yeh hay chahat ki shiddat! @Falak

na kah saaqii bahaar aane ke din hai.n
jigar ke daaG chhil jaane ke din hai.n

Noon
 
@Mishaikh awesome


na rang-o- roop ki tarah na khad-o-kaal ki tarah
woh mery man main aabasa hay kisi maalal ki tarah
main raastha hon or tumhari yaad qaafla hay jo
guzar rahi hay mujh say mery maah-o-saal ki tarah

hay
 
Awesome @Falak

haadase kyaa kyaa tumhaarii beruKhii se ho gaye
saarii duniyaa ke liye ham ajanabii se ho gaye
ye
 
@Mishaikh wow...really good 1

ye Khvaab hai Khushbuu hai ke jho.nkaa hai ke pal hai
ye dhundh hai baadal hai ke saayaa hai ke tum ho

Wao
 
..........ke tum ho. I reached to this part prior to half way to the end. Jhidar daikta hoon, jissay daikhta hoon, tu hi tu hai. @Falak

Visaal shabnam o khursheed jisko kehtai hain
woh aik chooti see arz-e-niyaaz hoti hai
 
lol....keep reading you might get to the end :p
awesome shair @Mishaikh

yahee hai zindagee, kuchh khwaab, chand ummeedein
inheen khilono'n se tum bhee bahal sako to chalo

wao
 
Wo hi jalwa aj tak hai zeb aaghosh nazar
Toor par Moosa hoi the jis ko hairan dekh kar
Gaisoo-o-rukh mein taluq aur aisi shan se
Hai tajub itehad kufr-o- iman dekh kar
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top