Nazm Barish By Gulzar

Silent Voice

Silent Voice

Star Pakistani
15
 
Messages
10,432
Reaction score
6,416
Points
1,211
Der tak baithe hue, dono ne baarish dekhi…
Wo dikhati thi mujhe bijli ke taaron pe latakti hui boondein.
Jo taqub mein thi ek dusre ke..
Aur ek dusre ko chhute hi taaro se tapak jati thi..
Mujhko ye fikr ke bijli ka current
chuu gaya nangi kisi taar se toh..
aag ke lag jane ka bayas hoga.
Usne kaghaz ki kai kashtiyaan paani mein utaari.
Aur ye keh ke baha di ke..samander mein milenge…
Mujhko ye fikr, ke is baar bhi sailab ka paani…
Kud ke utrega kohsahr se jab..
tod ke le jayega ye kachhe kinaare..
Ouk mein bharke wo barsaat ka paani…
adhbhari jheelon ko tarsaati rahi..
Wo bohut choti thi, kamsin thi,
woh masoom bohut thi..
Aabisharon ke tarannum pe
kadam rakhti thi…
aur goonjti thi..
Aur main umr ke Afkaar mein gumm…
tajurbe-humraah liye…,
saath hi saath mein
behta hua…chalta hua… behta gaya​
 

Back
Top