Ghazal Bas Ke Dushwar Hai Har Kaam Ka Asaan Hona by Mirza Ghalib

sahrish khan

sahrish khan

Star Pakistani
I Love Reading
11
 
Messages
6,924
Reaction score
14,147
Points
736
Bas Ke Dushwar Hai Har Kaam Ka Asaan Hona
Admi Ko Bhi Me-Asar Nahi Insan Hona

Gar Yeh Chahe Hai Kharabi Mere Ka-Shane Ki
Dar-O-Diwar Se Tapke Hai Baya-Baan Hona

Waey Diwangi Shouq Ke Har Dam Mujh Ko
Aap Jana Edhar, Aur Ap He Heraan Hona

Jalwa Az-Bas Ke Taqaza-E-Nagah Karta Hai
Johar-E-Aayna Bhi Chahe Hai Mazga Hona

Eshrat-E-Qatal Geh Aehl-E-Tamanna Mat Poch
Eid Nazara Hai Sham-Sher Ka Uryan Hona

Le Gay Khak Mein Hum Dagh Tamanna-E-Nishat
To Ho, Aur Aap Ba-Sad Rang-E-Gulistan Hona

Eshrat-E-Para-E-Dil Zakhm-E-Tamanna Khana
Lazat-E-Resh-E-Jiga, Gharq-E-Namakdan Hona

Ki Mere Qatal Us Ne Jafa Se Tuba
Hay Us Zod Pashemaa Ka Pashemaa Hona

Hef Es Char Girah Kapde Ki Qismat Ghalib
Jis Ki Qismat Mein Ho Aashiq Ka Grebaan Hona​
 

Back
Top