Ashaar Bekhud kiye dete hain Andaaz e Hijabana

faizan raza

faizan raza

Well-Known Pakistani
4
 
Messages
304
Reaction score
627
Points
151
Bekhud kiye dete hain andaaz e hijabana
Aa dil main tujhay rakhloon aie jalwa e janana.

Jee chahta tuhfay main bhaijoon main unhain Ankhain
Darshan ka to darshan ho Nazrane ka Nazrana

Kyun aankh milai thi, kyoon aag lagai thee
Aab rukh ko chupa baithay kar kay mujhay deewana.

Faizan meri kismat mein sajday hain usi dar kay
Chuta hai na chuthay ga sange dar e janana

Dunya main mujhay tu ne gar Apna banaya hai
Mehshar mein bhi keh daina yeah hai mera deewana

Bas itna karam karna aye chasme kareemana
Jab Jaan Laboun Per ho Tum Samne Aa jana..
 

Back
Top