Biwi Ka Baghair Ijazat Phone Call Karna

Harry Potter

Harry Potter

Well-Known Pakistani
5
 
Messages
248
Reaction score
305
Points
191
Aik shohar ne apni biwi se kaha hua hai k baghair uski ijazat k wo apnay maikay mein kisi ko phone na karay lekn jab wo so raha hota hai tou biwi apnay mailkay phone karti hai baatein karti hai aur phir call log mein se call history delete kar deti hai aur shohar ko is phone call k baray mein kuch nahi batati.

Kya biwi ka ye amal theek hai? Ghalat hai? Aap is amal ko kya naam dain gay? Kya yeh be wafai hai? Dhoka hai? Nafarmani hai? Gunah hai? Kya hai?

Please mujhe apni raye se zaroor agah karain aur please serious comments.

Thanks
 
@Ana Zai @Twilight @Veer @Muhammad Usman @Ali Akbar @Asad Rehman @kuku20 @tasmiya @Aaqib @Wanderer @Hafsa
 
@Harry Potter
Be wafai , dhoka, Gunnah n ghalat .... aisa kuch b nhi hai ye
nafarmani zaror hai but husband k pas aisa koi legal n Shari haq nhi k wo apni wife ko uski family se dor rakhy
Husband ko wife k amal ko chor kr apny amal ko check karna chahiye
 
@Ana Zai
Shohar ne biwi ke ghar walon se baat cheet per koi pabandi nahi lagai hui, biwi k ghar walay jab chahain usay phone kartay hain aur wo is per aitraz nahi karta, biwi bhi shohar se pooch k jab marzi apnay maikay phone kar leti hai woh is per bhi aitraz nahi karta. Wo sirf ye kehta hai k meray se pooch k mujhe bata k phone karo. Tou jab wo baat karne deta hai tou phir agar biwi baghair poochay chhup kar phone karay aur us call ka record delete kar day bataye bhi nahi tou ye kis tarah theek hua?
 
@Harry Potter hum ek baat seedhay se janty hain n aur wo ye k agr husband apni wife pr shak krta hai to ye alag baat hai
but itni choti c baat k liye husband se permission lena ... !!!
wo wife hai koi maid nhi, kisi pr itni sakhti krna theak nhi hota. problems ho sakti hain. n wo sb us k ghar wale hain
 
@Ana Zai
Shak karnay ki tou baat hai hi nahi kyun k wo us k ghar walay hain lekin aap ko pata hai Allah aur us k Rasool ne biwi ko shohar ki itaat karne ka hukam diya hai. Hadees ka mafhoom hai agar shohar hukam day tou biwi ko aik pahaar se doosray pahaar par bhi charh kar us ka hukam poora karna chahiye. Aik Sahabiya ka waqia hai jinhon ne shohar ki ijazat na honay ki waja se apnay walid ko ghar mein daakhil honay se bhi mana kar diya tha. Shohar ki na farmani koi choti baat nahi hai.

Agar aap aurat ya mard ki side liye baghair sochain tou ye baat kuch ajeeb nahi lagti k aurat phone call ka record kyun delete kar deti hai aur in secret phone calls se shohar ko laa ilam rakhti hai jab k agar bata k baat karay tou shohar bhi khush aur wo nafarmani se bhi bach jaye. Akhir ghar walay hi hain na tou phir chori chupay call kyun karti hai? Aur call history delete karne ki kya zaroorat?
 
AGR Islam mein itny sakht Ehkamaat hain wife k liye to definitely wo ghalat kr rhi hai.
jahan baat Islam ki ho wahan proof k bina baat nhi krni chahiye n Hum ne kbi es topic pr search nhi kiya so no idea
 
nae to husband kis bina par wife Ko mana kar raha hai koi waja to ho Han biwi ne ghalat Kia k usnay chup kar ghar walo se baat ki par husband Ko bhe mana nae karna chahiye Wo uskay ghar walay hain Wo kaisay apne ghar walo se baat na karay ye to ghalat baat Hui na....
 
Back
Top