Ghazal Dasht-e-Tanhai men ai jan-e-jahan larzan hain - Faiz Ahmed Faiz

Veer

Veer

Famous Pakistani
Staff member
27
 
Messages
35,544
Reaction score
45,344
Points
3,711
dasht-e-tanhai men ai jan-e-jahan larzan hain
teri avaz ke saae tire honton ke sarab

dasht-e-tanhai men duuri ke khas o khaak tale
khil rahe hain tire pahlu ke saman aur gulab

uth rahi hai kahin qurbat se tiri saans ki aanch
apni khushbu men sulagti hui maddham maddham

duur ufuq paar chamakti hui qatra qatra
gir rahi hai tiri dildar nazar ki shabnam

is qadar pyaar se ai jan-e-jahan rakkha hai
dil ke rukhsar pe is waqt tiri yaad ne haat

yuun guman hota hai garche hai abhi subh-e-firaq
dhal gaya hijr ka din aa bhi gai wasl ki raat
 
dashte-tunhai-main.gif
 

Back
Top