Official News Dear Readers & Writers!

Saad Sheikh

Saad Sheikh

Founder
Staff member
11
 
Messages
5,986
Reaction score
15,963
Points
716
Assalam u alaikum dear @Users Love Reading
Umeed hai aap sab khairiyat say aur khush baash hon gay, Insha Allah.

Hamein is baat ka andaza hai k 2017 ka end online readers k liye kuch acha nahi raha, aur achanak internet per digests aur novels ki uploading ruk gayi. Hamein maloom huwa k is ki waja digest publishers ki new policy hai jis k mutabiq websites aur Fb page admins ko digest uploading say rok diya gaya.

Jahan tak baat hai Pakistan.web.pk aur Readers.pk ki tou aap sab jantay hi hein hamari dono sites per pehlay bhi digest upload nahi kiye jatay thay aur ab bhi nahi kiye ja rahay. Yahan per digest/novel k threads banaye jatay hein readers ka feedback & reviews lenay k liye, aur readers ko achay novels recommend karnay k liye.

Al-hamdulillah hamari sites per readers ki aik bari ta'adad hai aur in may zyada users foreign countries may rehnay ki waja say Urdu book, novels & digests chah k bhi buy nahi kar saktay. Aur ab Digest publishers ki sakht policies ki waja say internet per digest uploading ka silsila bhi khatam huwa chahta hai, agar koi sites aisa kar rahi hein ya karein gi tou aaj nahi tou kal unhein legal notices ka saamna karna hoga.


Online readers is situation say bilkul khush dikhayi nahi diye, last 2 month may ham say bay shumaar readers nay contact kiya aur digest upload karnay ki request ki magar ham yeh kaam tou nahi kar saktay albatta ham nay faisla kiya k apnay readers ko is situation may mayoos nahi karein gay.

Online Novel Publishing
January 2018 say ham nay different writers say direct contact kar k khas Pakistan.web.pk aur Readers.pk k liye novel likhwanay ka silsila start kiya hai. Ham aisay novels bhi publish kar rahay hein jin k authors nay hamein ba-qaida permission di hai. Pakistan Web kay baray aur meyari platform say talented writers ki stories publish hona ham sab k liye khush-aaind hai :smiling face with smiling eyes:

Aur yeh mehez baatein nahi, hamaray intehayi mukhlis aur qabil Library staff nay din raat mehnat kar k novel publishing ka task complete kar k dikhaya hai :thumbs up: Jazakumullah khair. :rose:

Ham un sab writers k bhi bay-hadd shukr guzar hein jinhon nay is silsilay may hamaray sath ta'awun kiya aur apnay khoobsurat novels, afsanay hamein provide kiye hein.

List of Novels Published so far...
  1. Novel - Safar Mein Humsafar By Tehreem Arshad, Episode 1
  2. Novel - Sabz Qadam Aur Hari Churiyan By Komal Ahmed, Episode 1
  3. Novel - Dil Ki Dharkan Ban Gaye by Pari Vash, Episode 1
  4. Novel - Black Rose By Samreen Shah, Episode 1
  5. Novel - Pyar Ka Pagal Pan By Mahwish Chaudhary, Episode 1
  6. Novel - Pyar Ka Pagal Pan by Mahwish Chaudhary, Episode 2
  7. Novel - Do Dil Aik Jaan By Lee Aaun, Episode 1
  8. Novel - Nikah e Mohabbat By Mustafa Chhipa, Episode 1
  9. Afsana - Mere Dil Ka Qarar Ho Tum By Jiya Zubairi

Jesa k @Veer pehlay mention kar chukay hein, ham maheenay may 2 baar complete novels, afsanay aur episodic novels publish kiya karein gay, her maheenay ki 1st aur 15th ko. Yani agar aik novel ki pehli episode 1st ko upload huwi hai tou next episode 15th ko hogi. Insha Allah.

Online Digest
Ham nay yeh bhi socha hai k her mah k end per new publish honay wali stories ko ham apnay online digest k tor per bhi apnay readers ko as a gift provide kiya karein gay. Yeh online digest PDF aur Online reading dono tarah say available huwa karay ga, Insha Allah.

Dear Writers!
Pakistan Web per Online novel publishing ka silsila start ho gaya hai aur ab ham Urdu k tamam writers ko dawat detay hein k aap bhi Pakistan Web ki writers family ko join kijiye aur apnay novels & afsanay hamein provide kijiye, ham aap ki stories Pakistan k is khoobsurat aur meyari platform say publish karein gay. Mazeed maloomat k liye aap hamaray admins @Ana Zai aur @Veer say contact kar saktay hein.

Apni stories is link k zariye email kijiye:

Contact Us!
Contact us

Dear Readers!

Aap say main aik ahem request karnay ja raha hoon is umeed k sath aap isay radd nahi karein gay. Aap nay deikha ham aap ki free online reading k liye kis qadar mehnat kar rahay hein. Is saray kaam may bohot sa qeemti waqt lagta hai jo ham apni busy life may say aap k liye nikaltay hein. Hamari websites ko bahaal rakhnay per bhi her mah aik bari raqam pay ki jati hai. Main aap say sirf 2 requests karnay ja raha hoon..

Pehli request yeh k aap novels parhnay k baad apna feedback zaroor diya karein. Hamein aik aadat see ho gayi hai PDF download ki, ya online novel parha aur band kar diya. Is aadat may aik choti see tabdeeli honi chahiye, novel parhnay k baad chahay aik line ka hi feedback ho, zaroor comment kiya karein, is say writers aur ham publishers dono ki hosla afzai hogi aur hamein kaam karnay may zyada acha lagay ga. Aap story per khul kar comment kar saktay hein... novel may kya acha hai aur kahan per kahani kamzor huwi? productive feedback say writers ko apni stories improve karnay may madad milay gi aur ham publishers ko naya hosla aur jazba. Umeed hai aap mayoos nahi karein gay :)

Doosri request, Hamari dono sites browse kartay huway aap Ad-blockers disable rakha kijiye, is say site fees pay karnay may thori see help mil sakti hai. Aap yahan per sab kuch free may hasil kartay hein lekin hamari websites free nahi hein, yeh expensive dedicated server per host hein, in ki maintenance & development per kafi kharch aata hai. Aur hamari sites per Google k standard k mutabiq family-safe sponsor ads display hoti hein. Yahan per doosri blog sites ki tarah irritative annoying pop-up ads ki bharmar nahi hoti. Hamara apna aik standard hai aur ham us per pichlay 7, 8 saal say sakhti say amal kar rahay hein. Umeed hai aap is per bhi hamaray sath ta'awun karein gay.


Bohot khush rahiye!

Saad Sheikh
 

Inshallah i will share my ongoing novel #miadan_e_hashar here... it will be honour for me...
 

Attachments

  • received_1648192778611106.jpeg
    received_1648192778611106.jpeg
    82.5 KB · Views: 83
  • received_1648192778611106.jpeg
    received_1648192778611106.jpeg
    82.5 KB · Views: 83
@Saad Sheikh w.salam sir g .... thnku so much for providing us new novels episode 2 time in one month .... its great effort salute to Veer bro jo ap or wo etne mahnat sy humra leya Etna sara new novels upload kr raha hn pak.web is simply awesome website bcuz of its amazing staff members
Al-hamdulillah. Ham nay sab users ko apni family samjha aur mana hai aur is soch k sath ham jo kuch bhi kar saktay hein poori koshish hoti hai behtar say behtar karein aur users k aitamaad per poora utrein. Aap ki contribution bhi nehayat khoobsurat hai :love: Keep it up!
 
Back
Top