Ghazal Dil Munafiq Tha Shab-E-Hijar Main Soya Kaisa...

Dil munafiq tha shab-e-hijar main soya kaisa
Aur jab tujh se mila toot ke roya kaisa

Zindagi mein bhi ghazal hi ka qareena rakha
Khawaab dar khawab tere gham ko piroya kaisa

Ab to chehron pe bhi katbuo’n ka ghumaan hota hai
Aankhain pathar hui hain lab-e-goya kaisa

Dekh ab qurb ka mausam bhi na sar sabz lage
Hijar hi hijr maraasim main samoya kaisa

Aik aansoo tha ke dariya-e-nidaamat tha"Faraz"
Dil se baibaak shanawar ko daboya kaisa
kaisy soya baith k soo gya kya:p:confused::confused::confused:
 
Back
Top