Ghazal Doost ban kar bhi nehin By Ahmad Faraz

HumaJaved

HumaJaved

Well-Known Pakistani
4
 
Messages
228
Reaction score
582
Points
141

Doost ban ker bhi nehin sath nibhany wala
Wohi andaz hey zalim ka zamany wala

Ab usy log samajhty hen griftar mera
sakht nadim hey mujhy daam main lany wala

Subha dum choor gea nik'hat e gull ki sorat
raat ko ghuncha e dil main smitt aany wala

Kia kahen kitny marasim they humary us say
woh jo ik shaks hey moun phair k jany wala

Tery hoty huy aa jati thi dunia saari
aaj tanha hon to koi nehin aany wala

Muntazir kis ka hon tooti hui dehleez pay main
kon aye ga yahan kon hey any wala

Kia khabar thi jo meri jaa'n main ghula hey itna
hey wohi mujh ko sar e dar bhi lany wala

Main nay deykha hey baharo'n main chaman ko jalty
hey koi khwab ki tabeer batany wala

Tum takalluf ko bhi ikhlaas samjhty ho Faraz
doost hota nehin her haath milany wala
 

Back
Top