Friendship Poetry Dosti Ghar

Koi pathar sa dil laa do yaaro,
Ke maine insaanon mein jeena hy ..!!
 
Zamana dost ho jaye to tum mohtat ho jana
Kisi k rang badalnay main zara si deer lagti hay
Koi jo khwab dekho to usay foran bhula dena
Keh neendain toot janay main zara si deer lagti hay
Kisi ko dukh kabhi dena to itna soch ker dena
Kisi ki aah lagnay main zara si deer lagti hay
Bahut hi moutabar hain jin ko muhabat raas aa jaye
Kisi ko raah badalnay main zara si deer lagti hay
 

Yaro meri ik umer samandar me kat gai,
Kis shakhs ne daikhe hain bhanwar muj se ziada.
 
Ye kafi hai k hum dushman nahin hain,
Wafadari ka dawa kion karain hum.
 
Yaro muje maslob karo tum k mare bad,
Mumkin hai tumhara qad o qamat nikal ae.
 
Ye bhi shaid zindagi ki ik ada hai dosto,
Jis ko sathi mil gea wo uar tanha ho gea.
 
Back
Top