Friendship Poetry Dosti Ghar

Gardish e doran zamane ki nazar ankhon ki nend,
Kitne dushman aik rasm e dosti se ho gae.
 
Gale apas me jab milte hain wo bichare hoe sathi,
Adam be saharon ko bari takleef hoti hai.
 

Shaed unhen ka ajar mere kaam aa gea,
Jin doston ne chor dia waqt par muje.
 
Raaz e dil kis ko kahon hazrat e naseh kahaye,
Jo mere dost hain kia ghair k ehbab nahin.
 
Ruswaion ka ap ko aea hai abb kheal,
Hum ne to apne dost bhi dushman bana lie.
 
Hazor e dost ajab hadasa hoa yara,
Har aik harf e shikiyat ne khod koshi kar li.
 
Tumhari dosti ko daikh kar sub rashk karte hain,
Jo bus chalta to dunia cheen laiti zindagi meri.
 
Batayen kya tumhe yaaro, kahan thehre, kahan pohanchey,
Hazaron dastaanein hain safar ke sath waabasta..
 
Back
Top