Worries Dua's needed Alot...

Zirwah

Zirwah

Popular Pakistani
I Love Reading
7
 
Messages
1,403
Reaction score
3,123
Points
306
Assalam o Alaikum wr wb, Everyone...
Siiiigghhss!!!!
Okk....
Last Thursday I heard a bad news, not a very bad one Alhumdulillah, Allah ka bht ehsaan hai...
I'm in a critical condition filhal, and I have time only till this Friday...
Friday will be the day which will decide whether my 3rd baby gonna stay or not...
( I don't care yahan sab mere baray main kya sochain gain, but I think we all are mature enough)
Main iss waqt bhhhhtt takleef main, q k isi saal mere 2 miscarriages ho gae hain...
Main aap sab se yeh umeed krti hun k ap meri takleef ko samjhain gain or mujhe criticize nhi krain gain keh main ne yh baat yahan openly q ki....
Pakistan web members are now like a family for me...
Main yahan dua krna k lye aap se is lye nhi keh rahi k apni takleef ka izhar sab se kr rahi hun...
Blke mera maqsad yeh hai k koi bhi qabooliyat ka waqt hota hai or koi bhi uss time dua kre, ho skta hai k usski dua mere haqq main qabool ho jae....
I humbly request to all of you if anyone of you have zamzam then please zamzam pee kr mere lye dua krain, ya wese bhi...
I hope you all understand
Jazakillah khairan kaseera..
Agr kisi ko koi aitraaz ho bhi toh woh yh soch le k khuda na khuwasta woh bhi kisi aisi condition main ho skta hai k usko duaon ki bht zroort ho( Allah kabhi bhi aisa na krain).
 

Wa.salam behna

Bilkul ham aik family hein aur ham aik doosray say khushiyan pareshaniyan dukh sukh sab share kar saktay hein aur is sharing say bara hosla ho jata hai k ham tanha nahi hamaray liye aur bhi log hein jo caring hai jo hamari fikr kartay hein hamaray liye dua kartay hein aur ho sakay tou kisi bhi andaz may help kar saktay hein :)

@Zirwah main nay aap k liye abhi dua ki hai aur mazeed karoon ga magar meri personal advise hai k aap is maslay k liye Rohani ilaj bhi karwa'ein. I'm sure aap kisi achay doctor k pass hi hon gi magar deikha gaya hai k jab aap poori tarah fit bhi hon aur doctors ko koi aisi waja bhi nahi mil rahi hoti hai jis ki waja say aisa ho raha ho tou zaroor is k peechay doosry issues hotay hein jin k liye kisi achay mustanad rohani aalim say mashwara aur ilaj karwana chahiye. Agar aap ki nazar may aisa koi aalim hai tou yeh masla un k samnay zaroor rakhein agar nahi tou main aap ko advise kar sakta hoon. Just inbox me.

Allah ki zaat say mayoos na hon, jab ham us say maangtay hein tou woh hamaray liye behtar hi faisla karta hai.
 
aap is maslay k liye Rohani ilaj bhi karwa'ein.
Yess I m doing it Alhumdulillah...
Bss 1 week k andr andr hi huwa hai..
Bss 2 3 logon k samne baat ho gai k main theek hun, to un intentionally nazar lag gai hai shayad..
Q k nazar b toh bar haq hai..

JazakAllah khairan kaseera for understanding, not criticising. . Halanke main ne bht mention kya phir b mjhe darr tha shayad abhi bhi kisi ko bura lage... :( :( :'(
 
Bss 1 week k andr andr hi huwa hai..
Bss 2 3 logon k samne baat ho gai k main theek hun, to un intentionally nazar lag gai hai shayad..
Q k nazar b toh bar haq hai..
Ye tou aap ne bari ghalti ki hai. First four months tak husband k elawa kisi se bhi share nahe karte.

Yess I m doing it Alhumdulillah...
Agar abhi rohani elaj start kiya hai tou theek.. Allah madad karay ga. Aur agar kafi dair se karwa rahe hain tou ab kisi aur aalim se karwayen. Ye aik rohani bimari hai aur is ka rohani elaj he hota hai bhalay he aap khud karein ya kisi se karwaein.
 
@Zirwah , w/salam , Allah apko bht hi jald sehatyabi ata farma dy ga , Insha Allah and dont take tention , every think will be batter again , or kisi k pass jany ki zarorat nhi , ( I Personally Suggest You , k ye jo takleef hamy pohachti hai , wo hamary aamal hi hoty hai , Q k jo hamy 70 maao sy zayada piyar krta hai , wo hamy kesy takleef de skty hai , so, check what are you doing in your life haram ya halal...........
 
Back
Top