Eid ul-Fitr Eid Ki Sachi Khushi - Participate & Share The Happiness of Eid ul-Fitr

Say Eid Mubarak to your friends, family and loved ones, eid greeting messages, eid mubarak pictures, happy eid mubarak wishes
Saad Sheikh

Saad Sheikh

Founder
Staff member
11
 
Messages
5,990
Reaction score
15,973
Points
716
Asalam-u-alaikum & Advance Eid Mubarak :hug:
Umeed aur dua hai k aap khair o aafiyat say aur khoob mazay may hon gay, Insha Allah.

Eid ul Fitr kay pur-musarrat moqay per her saal ki tarah is bar bhi Pakistan.web.pk members k liye hum nay aik tafreehi, ilmi aur islaahi topic shuroo kiya hai, unwaan hai:

"Eid Ki Sachi Khushi"

Sabhi members aur visitors is may participation k liye invited hein, aap ko yahan poori iman-dari aur khuloos-e-niyat say batana hai k...
  1. Aap k nazdeek Eid ki Sachi Khushi kya hai?
  2. Aap Eid ki Sachi Khushi kesay mehsoos kartay hein?
  3. Is eid per aap Eid ki Khushiyon ko kis tarah celebrate aur share kar rahay hein / karein gay?
  4. Aap ka Eid Pegham, Sab Pakistanis kay Naam?
Best participant ka faisla Administration ki janib say kiya jaye ga aur khush-naseeb member ko Pakistan.web.pk ki jaanib say "Official Medal" kay saath saath "Eidi" bhi di jaye gi :)

To phir jaldi kijiye aur abhi "Eid Ki Sachi Khushi" may participation k liye ooper poochay gaye 4 sawalon k jawab poori iman-dari say isi thread may post kar dein.

Yaad rahay k..
  • Aap apnay jawab sirf aur sirf Roman Urdu may post kar saktay hein
  • Aap doosray participants k replies ko copy nahi karein gay
  • Participation ki last date 2nd September 2011 hai.
Aap k jawabat ka muntazir,
Saad Sheikh
Founder/Admin Pakistan.web.pk
 
NICE JOB.....GOOD JOB...INSHALLAH JALD E JWAB DENE KI KOSHISH KRTI HUN.....skoon se dena chahti hn jwab..abhi thora bz na...
 

Asalam-u-alaikum & Advance Eid Mubarak :hug:
Umeed aur dua hai k aap khair o aafiyat say aur khoob mazay may hon gay, Insha Allah.

Eid ul Fitr kay pur-musarrat moqay per her saal ki tarah is bar bhi Pakistan.web.pk members k liye hum nay aik tafreehi, ilmi aur islaahi topic shuroo kiya hai, unwaan hai:

"Eid Ki Sachi Khushi" .......

Wa'AlykumSalam!

Masha'Allah n Jazaka'Allah bara Aalaa thread throw kiya hai app ney :)
Main bhi mazey sey houn mere ghar waley bhi aur Aandi Gawaandi bhi ha ha meanz dost. ehbaab, muhalay daar :)

Ab question paper solve kerty hein ....

1: App key nazdeek Eid ki suchi khushi kia hai ?

yeh yuk jehtii ka ehsas hai ...aaj kal insan key massley buht hein, zindagii ka shaa'oor mitt'taa sa ja raha hai, baqi tehwaar jo hein llike ...motherz day, fathers day...valentine....etc ...yeh sub mass'nouii sey tehwaar hein...Eidul'fiter. Eid meladulnabi, baqr Eid aisey tehwaar hein jin main Apnayet ka haqeeqii ehsass rooh ko sarshaar kerta hai , keh humara Asal yeh hein , aur sub sey bari baat ameer ghareeb yuksaan tour per iss ko celebrate kerty hein , apni apni iss'te'taat key mutabiq ,khass tour per humarey mulk key muflis sey safaid n parda posh log, inhii tehwaaroun main unn main zindagii dourtii miley gii, ek rohaanii sa tabasum unn key chehroun per chalakny lagta hai yeh shayied qudartii amal hai, Allah ki khas rehmat ka nazool hota hai ,.ek aam aadmii ki zindagii buht majboor hai aaj kal khas ker in Pakistan, wo chouti chouti khushyoun ko aisey tarstey hein jaisey koi bacha APNEY MAN PASAND KHILONEY KO DAIKH ker machalta hai...tou yeh Eid ek khilona hai aam aadmii key liye, wo behal jata hai iss khushi key khiloney sey....aur yeh wahid tehwaar hein jo un ko jeeny ka ehsas dey jaty hein ...unko bhi feel hota hai keh yes we have still life ....

2: main ney iss khushi ko abhi hii mehsos ker liya hai rply fw kerty hii ....eh yeh her watn-e-aziz key bassi o yukjehtii ka ehsas bakhshay gii....apnayet ka.....

3: Apni family key sath ...aur ek kar-e-khair main sha'moulyeet hasil ker key :)

4: paeghaam...

in tehwaaroun o dil sey celebrate keryie keh app ko ehsass rahy keh zindagii app main abhi baqi hai ...yeh msg sirf unn key liye hein jin main zindagii kii tehreek dam tourtii ja rahi hai ...mulki halaat, aur maashii o maashertii masloun ki ba'doult

khush rahjyie

2474971ganhzpdy7z.gif
 
Asalam-u-alaikum & Advance Eid Mubarak :hug:
Umeed aur dua hai k aap khair o aafiyat say aur khoob mazay may hon gay, Insha Allah.

Eid ul Fitr kay pur-musarrat moqay per her saal ki tarah is bar bhi Pakistan.web.pk members k liye hum nay aik tafreehi, ilmi aur islaahi topic shuroo kiya hai, unwaan hai:

"Eid Ki Sachi Khushi"

Sabhi members aur visitors is may participation k liye invited hein, aap ko yahan poori iman-dari aur khuloos-e-niyat say batana hai k...
  1. Aap k nazdeek Eid ki Sachi Khushi kya hai?
  2. Aap Eid ki Sachi Khushi kesay mehsoos kartay hein?
  3. Is eid per aap Eid ki Khushiyon ko kis tarah celebrate aur share kar rahay hein / karein gay?
  4. Aap ka Eid Pegham, Sab Pakistanis kay Naam?
Best participant ka faisla Administration ki janib say kiya jaye ga aur khush-naseeb member ko Pakistan.web.pk ki jaanib say "Official Medal" kay saath saath "Eidi" bhi di jaye gi :)

To phir jaldi kijiye aur abhi "Eid Ki Sachi Khushi" may participation k liye ooper poochay gaye 4 sawalon k jawab poori iman-dari say isi thread may post kar dein.

Yaad rahay k..
  • Aap apnay jawab sirf aur sirf Roman Urdu may post kar saktay hein
  • Aap doosray participants k replies ko copy nahi karein gay
  • Participation ki last date 31st August 2011 hai.
Aap k jawabat ka muntazir,
Saad Sheikh
Founder/Admin Pakistan.web.pk
Aslam O alykum...
Hope u all r njoying good heath n wealth......n RAMDHAN k blessings se khob istafada kr rae hnge....Bs ALLAH hm gunahgarun pe aese e krm bnaye rakhay apna.... ameen or ye EID E SAEED khushi ki NAVEED sabit ho un dilun ko b jo dukh ki athahgehraaiun me dobay hen....khas kr karachi k mazloom awam.ameen
Buht e aala idea hai..bht aala thread bnaya hai....abhi me jwab deti hn....or jnab me honestly e krun gi ans as u said.
Aap k nazdeek Eid ki Sachi Khushi kya hai?
Eid ki sachi khushi tu kho gai ha hum se...ye tb e hasil ho skti hai jab hmaray pyaray watan me aman ka bol bala hoga....hr trf skoon hoga...aisi surat e haal me jab KARACHI me awam gajar moli ki tarah cut rae hun..hum baki log kis trah sachi khushi hasil kr paen ge....
ye to wo titli hai jisay kisi na samjh bachay ne pakr lia ho ..
ab or kia kahun sb PAKISTANIUN ko e sachi khushi ki talash hai....kash koi muajza ho jae...or zulam ka ye tufan tham jae.....
magr sochain agr ye tufan tham b jae...to itnay ghranun k jo chiragh buj gae us ka kia hoga...unko skoon or sachi khushi kon de pae ga....beshak ye zulam to un logun k lie zindgi bhr ka dukh ha...

Aap Eid ki Sachi Khushi kesay mehsoos kartay hein?
jahan tak talak hai me kese mehsos krti hn...to meri sachi khushi ye hoti hai k meri waja se kisi ko khushi mil jae eid k hawalay se to wo khushi aisi hoti hai jis ka koi sani nai...for example kisi ko uski psnd ki chez de kr...ya ksi zrurt mnd ki madad kr k....n fam k sath ....behn bhaiun ko khush daikh ker aisi khushi mil jati hai...

KHUDA se dua hai k wo ab k eid pe watan e azeez ko khushiun ka gehwara bana de...ameen

Is eid per aap Eid ki Khushiyon ko kis tarah celebrate aur share kar rahay hein / karein gay?

ye eid b mein her eid ki tarah apni family k sath guzarun gi..jo frends dor hnge unhen cal karun gi n jo pas hnge unhen milnay jaun gi ya wo milnay aayen gi...INSHALLAH.

Aap ka Eid Pegham, Sab Pakistanis kay Naam?

is EID pe pegham ye hai k gilay shikway bhula kr pori qoum ka or khandano ka aik ho jana e is eid pe sb se barri naimat hogi...Ae mere hmwatnu watan ki khatir yakja ho jao....ykjehti e kisi qoum ko bacha skti ha.....ye qoumun or naslun me hmen bantnay ki sazish ha beroni anasr ki jo mulk dushman hen...isay khudara kamyab na honay dia jae.....

IS EID PE DUA HAI K...
KHUDA KRAY K MERI ARZ E PAAK PE UTRAY.
WO FASL E GUL JISAY ANDESHA E ZAWAL NA HO...ameen
 
Back
Top