Eid ul-Fitr Eid Ki Sachi Khushi - Participate & Share The Happiness of Eid ul-Fitr

Say Eid Mubarak to your friends, family and loved ones, eid greeting messages, eid mubarak pictures, happy eid mubarak wishes
Aslam O alykum...
Hope u all r njoying good heath n wealth......n RAMDHAN k blessings se khob istafada kr rae hnge....Bs ALLAH hm gunahgarun pe aese e krm bnaye rakhay apna.... ameen or ye EID E SAEED khushi ki NAVEED sabit ho un dilun ko b jo dukh ki athahgehraaiun me dobay hen....khas kr karachi k mazloom awam.ameen
Buht e aala idea hai..bht aala thread bnaya hai....abhi me jwab deti hn....or jnab me honestly e krun gi ans as u said.

Eid ki sachi khushi tu kho gai ha hum se...ye tb e hasil ho skti hai jab hmaray pyaray watan me aman ka bol bala hoga....hr trf skoon hoga...aisi surat e haal me jab KARACHI me awam gajar moli ki tarah cut rae hun..hum baki log kis trah sachi khushi hasil kr paen ge....
ye to wo titli hai jisay kisi na samjh bachay ne pakr lia ho ..
ab or kia kahun sb PAKISTANIUN ko e sachi khushi ki talash hai....kash koi muajza ho jae...or zulam ka ye tufan tham jae.....
magr sochain agr ye tufan tham b jae...to itnay ghranun k jo chiragh buj gae us ka kia hoga...unko skoon or sachi khushi kon de pae ga....beshak ye zulam to un logun k lie zindgi bhr ka dukh ha...

jahan tak talak hai me kese mehsos krti hn...to meri sachi khushi ye hoti hai k meri waja se kisi ko khushi mil jae eid k hawalay se to wo khushi aisi hoti hai jis ka koi sani nai...for example kisi ko uski psnd ki chez de kr...ya ksi zrurt mnd ki madad kr k....n fam k sath ....behn bhaiun ko khush daikh ker aisi khushi mil jati hai...

KHUDA se dua hai k wo ab k eid pe watan e azeez ko khushiun ka gehwara bana de...ameen

ye eid b mein her eid ki tarah apni family k sath guzarun gi..jo frends dor hnge unhen cal karun gi n jo pas hnge unhen milnay jaun gi ya wo milnay aayen gi...INSHALLAH.

is EID pe pegham ye hai k gilay shikway bhula kr pori qoum ka or khandano ka aik ho jana e is eid pe sb se barri naimat hogi...Ae mere hmwatnu watan ki khatir yakja ho jao....ykjehti e kisi qoum ko bacha skti ha.....ye qoumun or naslun me hmen bantnay ki sazish ha beroni anasr ki jo mulk dushman hen...isay khudara kamyab na honay dia jae.....

IS EID PE DUA HAI K...
KHUDA KRAY K MERI ARZ E PAAK PE UTRAY.
WO FASL E GUL JISAY ANDESHA E ZAWAL NA HO...ameen

http://i55.***********/2e5uxr9.gif​

http://i55.***********/24ccz84.gif​
 
Wa'AlykumSalam!

Masha'Allah n Jazaka'Allah bara Aalaa thread throw kiya hai app ney :)
Main bhi mazey sey houn mere ghar waley bhi aur Aandi Gawaandi bhi ha ha meanz dost. ehbaab, muhalay daar :)
bohot bohot shukriya..
Masha Allah, Al-hamdulillah.. sab log mazay may hein :)

1: App key nazdeek Eid ki suchi khushi kia hai ?

yeh yuk jehtii ka ehsas hai ...aaj kal insan key massley buht hein, zindagii ka shaa'oor mitt'taa sa ja raha hai, baqi tehwaar jo hein llike ...motherz day, fathers day...valentine....etc ...yeh sub mass'nouii sey tehwaar hein...Eidul'fiter. Eid meladulnabi, baqr Eid aisey tehwaar hein jin main Apnayet ka haqeeqii ehsass rooh ko sarshaar kerta hai , keh humara Asal yeh hein , aur sub sey bari baat ameer ghareeb yuksaan tour per iss ko celebrate kerty hein , apni apni iss'te'taat key mutabiq ,khass tour per humarey mulk key muflis sey safaid n parda posh log, inhii tehwaaroun main unn main zindagii dourtii miley gii, ek rohaanii sa tabasum unn key chehroun per chalakny lagta hai yeh shayied qudartii amal hai, Allah ki khas rehmat ka nazool hota hai ,.ek aam aadmii ki zindagii buht majboor hai aaj kal khas ker in Pakistan, wo chouti chouti khushyoun ko aisey tarstey hein jaisey koi bacha APNEY MAN PASAND KHILONEY KO DAIKH ker machalta hai...tou yeh Eid ek khilona hai aam aadmii key liye, wo behal jata hai iss khushi key khiloney sey....aur yeh wahid tehwaar hein jo un ko jeeny ka ehsas dey jaty hein ...unko bhi feel hota hai keh yes we have still life ....

hmm to agar isay aik line may likhein to kuch yoon hogi:
"Eid ki sachi khushi.. Yak-jehti, Apnaa'iyat aur Zindagi kay Ahsas say hai"
bay shak.. bilkul sahi describe kiya :)

2: main ney iss khushi ko abhi hii mehsos ker liya hai rply fw kerty hii ....eh yeh her watn-e-aziz key bassi o yukjehtii ka ehsas bakhshay gii....apnayet ka.....
Al-hamdulillah.. Allah ta'ala yeh ahsas aur khushi kabhi kam na honay day, ameen.

3: Apni family key sath ...aur ek kar-e-khair main sha'moulyeet hasil ker key :)
Masha Allah.. yeh to bohot achi baat hai, kisi bhi tarah k kaar-e-khair say ham doosron k chehron per zindagi aur khushi ka ashas laa saktay hein.. aur yehi to eid hai.

4: paeghaam...

in tehwaaroun o dil sey celebrate keryie keh app ko ehsass rahy keh zindagii app main abhi baqi hai ...yeh msg sirf unn key liye hein jin main zindagii kii tehreek dam tourtii ja rahi hai ...mulki halaat, aur maashii o maashertii masloun ki ba'doult

khush rahjyie
bay shak.. sahi kaha. bohot acha message hai.

bohot shukriya Silent Voice. aap nay Eid k din na sirf hamein yaad rakha balkay apna qeemti waqt nikal kar yahan hamaray saath diya aur in time participate kiya.. thanx a lot, Allah aap ko khush rakhay, ameen. :rose:
 
Aslam O alykum...
Hope u all r njoying good heath n wealth......n RAMDHAN k blessings se khob istafada kr rae hnge....Bs ALLAH hm gunahgarun pe aese e krm bnaye rakhay apna.... ameen or ye EID E SAEED khushi ki NAVEED sabit ho un dilun ko b jo dukh ki athahgehraaiun me dobay hen....khas kr karachi k mazloom awam.ameen
Buht e aala idea hai..bht aala thread bnaya hai....abhi me jwab deti hn....or jnab me honestly e krun gi ans as u said.
Wa.salam Silla.
Ameen suma ameen.
bohot shukriya aap ko yeh acha laga aur aap nay apnay khoob soorat jawabat say isay eid k char chaand lagaye :)

Eid ki sachi khushi tu kho gai ha hum se...ye tb e hasil ho skti hai jab hmaray pyaray watan me aman ka bol bala hoga....hr trf skoon hoga...aisi surat e haal me jab KARACHI me awam gajar moli ki tarah cut rae hun..hum baki log kis trah sachi khushi hasil kr paen ge....
ye to wo titli hai jisay kisi na samjh bachay ne pakr lia ho ..
ab or kia kahun sb PAKISTANIUN ko e sachi khushi ki talash hai....kash koi muajza ho jae...or zulam ka ye tufan tham jae.....
magr sochain agr ye tufan tham b jae...to itnay ghranun k jo chiragh buj gae us ka kia hoga...unko skoon or sachi khushi kon de pae ga....beshak ye zulam to un logun k lie zindgi bhr ka dukh ha...
Waqai aap nay sahi baat ki.. being Pakistani aur being Muslim ham aik jism aik jaan hein.. agar jism k aik hisay ko takleef pohonchti hai to sara jism bay chain aur bay qarar ho jata hai.. hum sab aesa hi sochtay hein aur aesa sochna is baat ki alaamat hai k hum waqai aaj bhi aik jism aik jaan hein.. yeh yak-jehti aur apnaa'iyat hi ka ahsas hai jo Eid ki sachi khushi hai. :) Allah ta'ala yeh ahsas hum may zinda rakhay, ameen.

jahan tak talak hai me kese mehsos krti hn...to meri sachi khushi ye hoti hai k meri waja se kisi ko khushi mil jae eid k hawalay se to wo khushi aisi hoti hai jis ka koi sani nai...for example kisi ko uski psnd ki chez de kr...ya ksi zrurt mnd ki madad kr k....n fam k sath ....behn bhaiun ko khush daikh ker aisi khushi mil jati hai...

KHUDA se dua hai k wo ab k eid pe watan e azeez ko khushiun ka gehwara bana de...ameen
Ameen. Bay shak.. hum Eid ki sachi khushi yoonhi mehsoos kar saktay hein.. doosron ki khushiyon may shaamil ho kar aur apnon k saath.

ye eid b mein her eid ki tarah apni family k sath guzarun gi..jo frends dor hnge unhen cal karun gi n jo pas hnge unhen milnay jaun gi ya wo milnay aayen gi...INSHALLAH.
bohot achay..

is EID pe pegham ye hai k gilay shikway bhula kr pori qoum ka or khandano ka aik ho jana e is eid pe sb se barri naimat hogi...Ae mere hmwatnu watan ki khatir yakja ho jao....ykjehti e kisi qoum ko bacha skti ha.....ye qoumun or naslun me hmen bantnay ki sazish ha beroni anasr ki jo mulk dushman hen...isay khudara kamyab na honay dia jae.....

IS EID PE DUA HAI K...
KHUDA KRAY K MERI ARZ E PAAK PE UTRAY.
WO FASL E GUL JISAY ANDESHA E ZAWAL NA HO...ameen
Wah Subhan Allah.. kya shair aur kya khoob soorat pegham hai.. Unity is the most important thing.. aur aaj is ki kami bohot shiddat say mehsoos hoti hai. Allah karay, is qom may misaali ittehaad aur yak-jehti qaim ho jaye, ameen.

bohot shukriya Silla, aap nay Eid k moqay per apna qeemti time hamein diya aur yahan participate kiya, bohot khoob soorat jawab diye, mujhay dili khushi huwi k ham is tarah say sochtay hein.. bohot khush rahein. :rose:
 
Asalam-u-alaikum

Silent Voice aur Silla Shah main aap dono ka bay hadd shukar guzar hoon k aap nay is special event may participate kiya. Main aur bhi kuch doston ki participation expect kar raha tha lekin maloom nahi kyun hum un ki participation nahi deikh sakay.. lekin aap dono nay apni participation say is khoob soorat event kay taqreeban sabhi khas pehlu'on ko umdagi say ujaagar kiya hai aur mujhay bilkul bhi kami mehsoos nahi huwi.. is event ko start karnay ka jo mqsad meray mind may tha aap dono nay usay poora kiya hai aur jesa k kaha gaya hai k Khaloos-e-niyat say ki gayi naik baat bhi aik Sadqa hai.. Pakistan.web.pk kay members aur bohot say silent visitors nay aap ka pegham parha hai aur mazeed bohot say logon tak Eid Ki Sachi Khushi ki haqeeqat aur Eid Ka Haqeeqi Pegham pohonchay ga.. Insha Allah is ka bohot faida hoga.

Is event may participation ka time over ho gaya hai.

Aap dono (Silent Voice & Silla Shah) hi is event ki winner hein.. aap ko aik special traditional award (Medal of Eid Glory) aur hasb-e-wada Eidi.. bhi zaroor mil jaye gi :)

bohot khush rahein :rose:
 
Medal of Eid Glory - Announced for Silent Voice & Silla Shah - Congrats!

3010974x3e7jjfa70.gif
 
thanx :)

http://i53.***********/alg9sk.gifHajoom itna ho App ki zindagii mein khush'youn kaa
Gham guzarna bhi Chahy tou raasta naah miley/AmeeNhttp://i53.***********/alg9sk.gif
 
I would luv to participate but.. ah I missed it :(

anywayz.. i like the way you both participated silla n silent

nice effort saad.. keep it up.
 
Back
Top